SEARCH RESULTS
Showing search results for "pashiimaanii"
Sher MATCHES FOR "pashiimaanii"
Sher
chashm pur-nam zulf aashufta nigaahe.n be-qaraar
is pashiimaanii ke sadqe mai.n pashiimaa.n ho gayaa
Jigar Moradabadi
Sher
dil pareshaa.n ho magar aa.nkh me.n hairaanii na ho
KHvaab dekho ki haqiiqat se pashiimaanii na ho
Shahryar
Sher
kii mire qatl ke baa'd us ne jafaa se tauba
haa.e us zuud-pashiimaa.n kaa pashiimaa.n honaa
Mirza Ghalib
Sher
kyuu.n pashemaa.n ho agar va.ada vafaa ho na sakaa
kahii.n va.ade bhii nibhaane ke liye hote hai.n
Ibrat Machlishahri
Sher
savaal kar ke mai.n KHud hii bahut pashemaa.n huu.n
javaab de ke mujhe aur sharmsaar na kar
Abdul Hamid Adam
Sher
dushmano.n se pashemaan honaa pa.Daa hai
dosto.n kaa KHuluus aazmaane ke ba.ad
Khumar Barabankavi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Jagdish Sahay Saxena
Sher
mai.n ne kyuu.n tark-e-ta.alluq kii jasaarat kii hai
tum agar Gaur karoge to pashiimaa.n hoge
Ameer Qazalbash
Sher
jab kabhii ham ne kiyaa ishq pashemaan hu.e
zindagii hai to abhii aur pashemaa.n ho.nge
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
kitnaa naadim huu.n kisii shaKHs se shikva kar ke
mujh se dekhaa na gayaa us kaa pashemaa.n honaa
Rasikh Irfani
Sher
ruuh arbaab-e-mohabbat kii laraz jaatii hai
tuu pashemaan na ho apnii jafaa yaad na kar
Fani Badayuni
Sher
muddato.n baa'd pashemaa.n hu.aa dariyaa ham se
muddato.n baa'd hame.n pyaas chhupaanii aa.ii
Iqbal Ashhar
Sher
maGfirat kii nazar aatii hai bas itnii suurat
ham gunaaho.n se pashemaan rahaa karte hai.n
Muzaffar Ali Aseer
Sher
Mustafa Shahab
Sher
kaash mai.n terii mulaaqaat ko KHud hii aataa
tuur par bhej ke muusaa ko pashemaa.n huu.n mai.n