SEARCH RESULTS
Showing search results for "pironaa"
Sher MATCHES FOR "pironaa"
Sher
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
Allama Iqbal
Sher
Jaun Eliya
Sher
biimaar ko maraz kii davaa denii chaahiye
mai.n piinaa chaahtaa huu.n pilaa denii chaahiye
Rahat Indori
Sher
ra.ng KHushbuu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apnii hii tasviir me.n chehra puraanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Sher
javaanii kyaa hu.ii ik raat kii kahaanii hu.ii
badan puraanaa hu.aa ruuh bhii puraanii hu.ii
Obaidullah Aleem
Sher
kaa.nTo.n me.n ghire phuul ko chuum aa.egii lekin
titlii ke paro.n ko kabhii chhilte nahii.n dekhaa
Parveen Shakir
Sher
vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl
na.ii kitaab kaa ek ik varaq puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
jaatii hai dhuup ujle paro.n ko sameT ke
zaKHmo.n ko ab ginuu.ngaa mai.n bistar pe leT ke
Shakeb Jalali
Sher
agar palak pe hai motii to ye nahii.n kaafii
hunar bhii chaahiye alfaaz me.n pirone kaa
Javed Akhtar
Sher
vahii charaaG bujhaa jis kii lau qayaamat thii
usii pe zarb pa.Dii jo shajar puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
kabhii kabhii to kisii ajnabii ke milne par
bahut puraanaa ko.ii silsila nikaltaa hai