SEARCH RESULTS
Showing search results for "pukaaraa"
Sher MATCHES FOR "pukaaraa"
Sher
yuu.n sar-e-raah mulaaqaat hu.ii hai aksar
us ne dekhaa bhii nahii.n ham ne pukaaraa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
samundaro.n ko bhii hairat hu.ii ki Duubte vaqt
kisii ko ham ne madad ke liye pukaaraa nahii.n
Iftikhar Arif
Sher
shauq-e-safar be-sabab aur safar be-talab
us kii taraf chal diye jis ne pukaaraa na thaa
Shahzad Ahmad
Sher
mujhe aa gayaa yaqii.n saa ki yahii hai merii manzil
sar-e-raah jab kisii ne mujhe daf.atan pukaaraa
Shakeel Badayuni
Sher
ham ne avval to kabhii us ko pukaaraa hii nahii.n
aur pukaaraa to pukaaraa bhii sadaa.o.n ke baGair
Ahmad Ata
Sher
vo lamha jab mire bachche ne maa.n pukaaraa mujhe
mai.n ek shaaKH se kitnaa ghanaa daraKHt hu.ii
Humaira Rahman
Sher
Aslam Aazad
Sher
haa.n ye KHataa hu.ii thii ki ham uTh ke chal diye
tum ne bhii to palaT ke pukaaraa nahii.n hame.n
Nasir Zaidi
Sher
Ahmad Ata
Sher
mai.n ne puuchhaa thaa ki iz.haar nahii.n ho saktaa
dil pukaaraa ki KHabar-daar nahii.n ho saktaa
Abbas Tabish
Sher
pukaaraa jab mujhe tanhaa.ii ne to yaad aayaa
ki apne saath bahut muKHtasar rahaa huu.n mai.n
Farigh Bukhari
Sher
Adeem Hashmi
Sher
ham ne ba-sad KHuluus pukaaraa hai aap ko
ab dekhnaa hai kitnii kashish hai KHuluus me.n