SEARCH RESULTS
Showing search results for "pulanda"
Sher MATCHES FOR "pulanda"
Sher
us ko judaa hu.e bhii zamaana bahut hu.aa
ab kyaa kahe.n ye qissa puraanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
Allama Iqbal
Sher
ra.ng KHushbuu aur mausam kaa bahaanaa ho gayaa
apnii hii tasviir me.n chehra puraanaa ho gayaa
Khalid Ghani
Sher
javaanii kyaa hu.ii ik raat kii kahaanii hu.ii
badan puraanaa hu.aa ruuh bhii puraanii hu.ii
Obaidullah Aleem
Sher
vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl
na.ii kitaab kaa ek ik varaq puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
vahii charaaG bujhaa jis kii lau qayaamat thii
usii pe zarb pa.Dii jo shajar puraanaa thaa
Iftikhar Arif
Sher
kabhii kabhii to kisii ajnabii ke milne par
bahut puraanaa ko.ii silsila nikaltaa hai
Manzoor Hashmi
Sher
chehre se jhaa.D pichhle baras kii kuduurate.n
diivaar se puraanaa calender utaar de
Zafar Iqbal
Sher
aaKHir ik roz to paivand-e-zamii.n honaa hai
jaama-e-ziist nayaa aur puraanaa kaisaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Shariq Kaifi
Sher
ko.ii puraanaa KHat kuchh bhuulii-bisrii yaad
zaKHmo.n par vo lamhe marham hote hai.n
Anjum Irfani
Sher
hai zeb-e-guluu kab se mire daar kaa phandaa
mujrim huu.n agar mai.n to sazaa kyuu.n nahii.n dete
Kaleem Usmani
Sher
Thaharnaa bhii miraa jaanaa shumaar hone lagaa
pa.De pa.De mai.n puraanaa shumaar hone lagaa