SEARCH RESULTS
Showing search results for "pumba-e-miinaa"
Sher MATCHES FOR "pumba-e-miinaa"
Sher
sadaa-e-qulqul-e-miinaa mujhe nahii.n aatii
mire savaal kaa shiishe me.n kuchh javaab nahii.n
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
mai-KHaane me.n kyuu.n yaad-e-KHudaa hotii hai aksar
masjid me.n to zikr-e-mai-o-miinaa nahii.n hotaa
Riyaz Khairabadi
Sher
tire suKHan me.n ai naaseh nahii.n hai kaifiyyat
zabaan-e-qulqul-e-miinaa sii.n sun kalaam-e-sharaab
Siraj Aurangabadi
Sher
go haath ko jumbish nahii.n aa.nkho.n me.n to dam hai
rahne do abhii saaGar-o-miinaa mire aage
Mirza Ghalib
Sher
mai pii ke iid kiijiye guzraa mah-e-siyaam
tasbiih rakhiye saaGar-o-miinaa uThaa.iye
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
mastii bharii havaa.o.n ke jho.nke na puuchhiye
fitrat hai aaj saaGar-o-miinaa liye hu.e
Ada Jafarey
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
har shab shab-e-baraat hai har roz roz-e-iid
sotaa huu.n haath gardan-e-miinaa me.n Daal ke
Haidar Ali Aatish
Sher
saabit hu.aa hai gardan-e-miinaa pe KHuun-e-KHalq
larze hai mauj-e-mai tirii raftaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
vo qulqul-e-miinaa me.n charche mirii tauba ke
aur shiisha-o-saaGar kii mai-KHaane me.n sargoshii
Bedam Shah Warsi
Sher
lagtii hai ab to qulqul-e-miinaa se dil ko Thes
vo din ga.e kaliim ki ye shiisha sang thaa
Mohammad Husain Kaleem
Sher
Munshi Khairati Laal Shagufta
Sher
Zaheer Kashmiri
Sher
chillaa rahaa huu.n qulqul-e-miinaa-e-mai kii shakl
de jaam ke labo.n se mujhe saaqiyaa javaab
Imdad Ali Bahr
Sher
Jagan Nath Azad
Sher
gardish-e-miinaa-o-jaam dekhiye kab tak rahe
ham pe taqaazaa-e-haraam dekhiye kab tak rahe