SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaa.ede"
Sher MATCHES FOR "qaa.ede"
Sher
qaa.ede baazaar ke is baar ulTe ho ga.e
aap to aa.e nahii.n par phuul mah.nge ho ga.e
Nomaan Shauque
Sher
kufr-o-dii.n ke qaa.ede dono.n adaa ho jaa.e.nge
zab.h vo kaafir kare mu.nh se kahe.n takbiir ham
Naseem Dehlvi
Sher
Nasir Kazmi
Sher
qaid-e-hayaat o band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahle aadmii Gam se najaat paa.e kyuu.n
Mirza Ghalib
Sher
mai.n mai-kade kii raah se ho kar nikal gayaa
varna safar hayaat kaa kaafii taviil thaa
Abdul Hamid Adam
Sher
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thii lekin
kisii ne mujh ko giraftaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
kahte hai.n umr-e-rafta kabhii lauTtii nahii.n
jaa mai-kade se merii javaanii uThaa ke laa
Abdul Hamid Adam
Sher
apnii manzil pe pahu.nchnaa bhii kha.De rahnaa bhii
kitnaa mushkil hai ba.De ho ke ba.De rahnaa bhii
Shakeel Azmi
Sher
ham ye to nahii.n kahte ki ham tujh se ba.De hai.n
lekin ye bahut hai ki tire saath kha.De hai.n
Waseem Barelvi
Sher
tum raah me.n chup-chaap kha.De ho to ga.e ho
kis kis ko bataa.oge ki ghar kyuu.n nahii.n jaate
Ameer Qazalbash
Sher
ba.De sukuun se Duube the Duubne vaale
jo saahilo.n pe kha.De the bahut pukaare bhii
Amjad Islam Amjad
Sher
phir na.e saal kii sarhad pe kha.De hai.n ham log
raakh ho jaa.egaa ye saal bhii hairat kaisii
Aziz Nabeel
Sher
guzre hai.n mai-kade se jo tauba ke baa'd ham
kuchh duur aadatan bhii qadam Dagmagaa.e hai.n