SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaa.im"
Sher MATCHES FOR "qaa.im"
Sher
mujh me.n aur tujh me.n hai ye farq to ab bhii qaa.im
tuu mujhe chaahe magar tujh ko zamaana chaahe
Saghar Azmi
Sher
sach kahaa hai ki ba-ummiid hai duniyaa qaa.im
dil-e-hasrat-zada bhii teraa tamannaa.ii hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
Mirza Ghalib
Sher
zindagii tuu ne mujhe qabr se kam dii hai zamii.n
paa.nv phailaa.uu.n to diivaar me.n sar lagtaa hai
Bashir Badr
Sher
hazaaro.n kaam mohabbat me.n hai.n maze ke 'daaG'
jo log kuchh nahii.n karte kamaal karte hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
yahaa.n libaas kii qiimat hai aadmii kii nahii.n
mujhe gilaas ba.De de sharaab kam kar de
Bashir Badr
Sher
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
karuu.ngaa kyaa jo mohabbat me.n ho gayaa naakaam
mujhe to aur ko.ii kaam bhii nahii.n aataa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
shab-e-visaal hai gul kar do in charaaGo.n ko
KHushii kii bazm me.n kyaa kaam jalne vaalo.n kaa
Dagh Dehlvi
Sher
bas-ki dushvaar hai har kaam kaa aasaa.n honaa
aadmii ko bhii muyassar nahii.n insaa.n honaa