SEARCH RESULTS
Showing search results for "qaafiyaa"
Sher MATCHES FOR "qaafiyaa"
Sher
shaa.erii to vaardaat-e-qalb kii ruudaad hai
qaafiya-paimaa.ii ko mai.n shaa.erii kaise kahuu.n
Nazim Barelvi
Sher
kahte hai.n Gazal qaafiya-paimaa.ii hai 'naasir'
ye qaafiya-paimaa.ii zaraa kar ke to dekho
Nasir Kazmi
Sher
shahr me.n qaafiya-paimaa.ii bahut kii 'aatish'
ab iraada hai miraa baadiya-paimaa.ii kaa
Haidar Ali Aatish
Sher
chaahiye ra.ng-e-taGazzul bhii Gazal me.n pyaare
shaa.irii naam nahii.n qaafiya-paimaa.ii kaa
Asghar Kalkattvi
Sher
be-takalluf aa gayaa vo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gayaa paas-e-adab se qaafiya aadaab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
sher ko mazmuun setii qadr ho hai 'aabruu'
qaafiya setii milaayaa qaafiyaa to kyaa hu.aa
Abroo Shah Mubarak
Sher
Dilawar Figar
Sher
Shahab Jafri
Sher
buto.n se tujh ko umiide.n KHudaa se naumiidii
mujhe bataa to sahii aur kaafirii kyaa hai
Allama Iqbal
Sher
zahr miiThaa ho to piine me.n mazaa aataa hai
baat sach kahiye magar yuu.n ki haqiiqat na lage
Fuzail Jafri
Sher
baat vo kahiye ki jis baat ke sau pahluu ho.n
ko.ii pahluu to rahe baat badalne ke liye