SEARCH RESULTS
Showing search results for "qadar-daan-e-sukhan"
Sher MATCHES FOR "qadar-daan-e-sukhan"
Sher
shaahzaade ho.n valii ho.n ki suKHan-daan-e-shahr
jab vo dikhtaa hai ko.ii aur kahaa.n dikhtaa hai
Sahar Alig
Sher
bazm me.n kuchh qadar-daa.n is qism ke aa jaa.e.nge
chhaa.nT kar aksar na.e juute churaa le jaa.e.nge
Zareef Lakhnavi
Sher
ho gayaa band dar-e-mai-kadaa kyaa qahr hu.aa
shauq-e-paa-bos-e-hasiinaa.n jo tujhe thaa ai dil
Ameer Minai
Sher
be-takalluf aa gayaa vo mah dam-e-fikr-e-suKHan
rah gayaa paas-e-adab se qaafiya aadaab kaa
Muneer Shikohabadi
Sher
raanaa.i-e-KHayaal ko Thahraa diyaa gunaah
vaa.iz bhii kis qadar hai mazaaq-e-suKHan se duur
Hasrat Mohani
Sher
aaKHir gil apnii sarf-e-dar-e-mai-kada hu.ii
pahu.nche vahaa.n hii KHaak jahaa.n kaa KHamiir ho
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
Siraj Lakhnavi
Sher
KHaamosh kha.Daa huu.n mai.n dar-e-KHvaab se baahar
kyaa jaaniye kab tak isii haalat me.n rahuu.ngaa
Inam Nadeem
Sher
hamaare dam se hai raushan dayaar-e-fikr-o-suKHan
hamaare baad ye galiyaa.n dhu.aa.n dhu.aa.n ho.ngii
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaa.e
mudda.aa anqaa hai apne aalam-e-taqriir kaa
Mirza Ghalib
Sher
haq ye hai ki ka.abe kii binaa bhii na pa.Dii thii
hai.n jab se dar-e-but-kada par KHaak-nashii.n ham
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
iid hai ham ne bhii jaanaa ki na hotii gar iid
mai-farosh aaj dar-e-mai-kada kyuu.n vaa kartaa
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
paayaa hai is qadar suKHan-e-saKHt ne rivaaj
punjabi baat karte hai.n pashtuu zabaan me.n
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
Afzal Parvez
Sher
Haider Dehlvi
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa