SEARCH RESULTS
Showing search results for "qadr"
Sher MATCHES FOR "qadr"
Sher
gaahe gaahe kii mulaaqaat hii achchhii hai 'amiir'
qadr kho detaa hai har roz kaa aanaa jaanaa
Ameer Minai
Sher
Kaifi Azmi
Sher
Qadr Bilgrami
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
vo vaqt aur the ki buzurgo.n kii qadr thii
ab ek buu.Dhaa baap bhare ghar pe baar hai
Moin Shadab
Sher
tum hii batlaa.o ki us kii qadr kyaa hogii tumhe.n
jo mohabbat muft me.n mil jaa.e aasaanii ke saath
Zafar Iqbal
Sher
mai.n jis kii aa.nkh kaa aa.nsuu thaa us ne qadr na kii
bikhar gayaa huu.n to ab ret se uThaa.e mujhe
Bashir Badr
Sher
Jameel Mazhari
Sher
zamaana dekhaa hai ham ne hamaarii qadr karo
ham apnii aa.nkho.n me.n duniyaa basaa.e baiThe hai.n
Iqbal Azeem
Sher
dosto.n se ye kahuu.n kyaa ki mirii qadr karo
abhii arzaa.n huu.n kabhii paa.oge naayaab mujhe
Saba Akbarabadi
Sher
aadmii kyaa vo na samjhe jo suKHan kii qadr ko
nutq ne haivaa.n se musht-e-KHaak ko insaa.n kiyaa
Haidar Ali Aatish
Sher
tark-e-vatan ke baad hii qadr-e-vatan hu.ii
barso.n mirii nigaah me.n diivaar-o-dar phire
Fana Nizami Kanpuri
Sher
mai.n is liye bhii tire fan kii qadr kartaa huu.n
tuu jhuuT bol ke aa.nsuu nikaal letaa hai
Ahmad Kamal Parwazi
Sher
in aa.nsu.o.n kaa ko.ii qadr-daan mil jaa.e
ki ham bhii 'miir' kaa diivaan le ke aa.e hai.n
Manzar Bhopali
Sher
afsurda-dil ke vaaste kyaa chaa.ndnii kaa lutf
lipTaa pa.Daa hai murda saa goyaa kafan ke saath