SEARCH RESULTS
Showing search results for "qasme.n"
Sher MATCHES FOR "qasme.n"
Sher
jise na aane kii qasme.n mai.n de ke aayaa huu.n
usii ke qadmo.n kii aahaT kaa intizaar bhii hai
Javed Naseemi
Sher
Amanullah Khalid
Sher
tum bhii ulTii ulTii baate.n puuchhte ho
ham bhii kaisii kaisii qasme.n khaate hai.n
Baqi Siddiqui
Sher
kyaa kahegaa kabhii milne bhii agar aa.egaa vo
ab vafaadaarii kii qasme.n to nahii.n khaa.egaa vo
Ajmal Siraj
Sher
ba.ad tauba ke bhii hai dil me.n ye hasrat baaqii
de ke qasme.n ko.ii ik jaam pilaa de ham ko
Mirza Hadi Ruswa
Sher
yuu.n to mus.haf bhii uThaa.e ga.e qasme.n bhii magar
aaKHirii faisla talvaar uThaane se hu.aa
Ziaul Mustafa Turk
Sher
bahut pahle se un qadmo.n kii aahaT jaan lete hai.n
tujhe ai zindagii ham duur se pahchaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
Jaun Eliya
Sher
nayaa ik rishta paidaa kyuu.n kare.n ham
bichha.Dnaa hai to jhag.Daa kyuu.n kare.n ham
Jaun Eliya
Sher
aa.iina kyuu.n na duu.n ki tamaashaa kahe.n jise
aisaa kahaa.n se laa.uu.n ki tujh saa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Sher
sunaa hai us ke badan kii taraash aisii hai
ki phuul apnii qabaa.e.n katar ke dekhte hai.n