SEARCH RESULTS
Showing search results for "qismat-e-insaa.n"
Sher MATCHES FOR "qismat-e-insaa.n"
Sher
naav kaaGaz kii tan-e-KHaakii-e-insaa.n samjho
Garq ho jaa.e.ngii chhii.nTaa jo pa.Daa paanii kaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
pursaan-e-pareshaanii-e-insaa.n nahii.n ko.ii
qismat kii girah naaKHun-e-tadbiir se kholo
Abdul Aziz Khalid
Sher
lahuu me.n Duubii hai taariiKH-e-KHilqat-e-insaa.n
abhii ye nasl hai shaa.ista-e-hayaat kahaa.n
Siraj Lakhnavi
Sher
sadiyo.n se mire paa.nv tale jannat-e-insaa.n
mai.n jannat-e-insaa.n kaa pataa Dhuu.nDh rahii huu.n
Ada Jafarey
Sher
Khalid Hasan Qadiri
Sher
nahii.n hai dil kaa sukuu.n qismat-e-tamannaa me.n
tumhe.n bhii dil kii tamannaa banaa ke dekh liyaa
Maikash Akbarabadi
Sher
ab ko.ii Dhuu.nD-Dhaa.nD ke laa.o nayaa vajuud
insaan to bulandi-e-insaa.n se ghaT gayaa
Kalidas Gupta Raza
Sher
ishq jab daKHl kare hai dil-e-insaa.n me.n 'muhib'
vaahime sab bashariyyat ke kare hai iKHraaj
Waliullah Muhib
Sher
vahshat-e-dil ne kiyaa hai vo bayaabaa.n paidaa
saik.Do.n kos nahii.n suurat-e-insaa.n paidaa
Haidar Ali Aatish
Sher
har dukaa.n apnii jagah hairat-e-nazzaara hai
fikr-e-insaa.n ke sajaa.e hu.e baazaar to dekh
Akbar Hyderabadi
Sher
uruuj-e-maah ko insaa.n samajh gayaa lekin
hanuuz azmat-e-insaa.n se aagahii kam hai
Shahid Siddiqui
Sher
aalam ke muraqqe ko kiyaa sair mai.n lekin
is me.n bhii ko.ii suurat-e-insaan na niklii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ab hayaat-e-insaa.n kaa hashr dekhiye kyaa ho
mil gayaa hai qaatil ko mansab-e-masiihaa.ii
Shahid Siddiqui
Sher
naamuus-e-zindagii Gam-e-insaa.n me.n Dhaal kar
suutii hai raat jaam se suuraj nikaal kar
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
kitne mah-o-anjum hai.n ziyaa-paash azal se
lekin na hu.ii kam dil-e-insaa.n kii siyaahii