SEARCH RESULTS
Showing search results for "qissa-e-gesuu-o-qad"
Sher MATCHES FOR "qissa-e-gesuu-o-qad"
Sher
be-shak asiir-e-gesuu-e-jaanaa.n hai.n be-shumaar
hai ko.ii ishq me.n bhii giraftaar dekhnaa
Haneef akhgar
Sher
qad o gesuu lab-o-ruKHsaar ke afsaane chale
aaj mahfil me.n tire naam pe paimaane chale
Ahmad Rahi
Sher
us bevafaa se kar ke vafaa mar-miTaa 'razaa'
ik qissa-e-taviil kaa ye iKHtisaar hai
Aal-e-Raza Raza
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
zindagii ik KHvaab hai ye KHvaab kii taabiir hai
halqa-e-gesu-e-duniyaa paa.nv kii zanjiir hai
Obaidullah Siddiqui
Sher
kisii ko qissa-e-paakii-e-chashm yaad nahii.n
ye aa.nhke.n kaun sii barsaat me.n nahaa.ii thii.n
Musavvir Sabzwari
Sher
aage ba.Dhe na qissa-e-ishq-e-butaa.n se ham
sab kuchh kahaa magar na khule raaz-daa.n se ham
Altaf Hussain Hali
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
qissa-e-majnuu.n-o-farhaad bhii ik pardaa hai
jo fasaana hai yahaa.n sharh-o-bayaa.n hai apnaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
qissa-e-barhana-paa.ii ko mire ai majnuu.n
KHaar se puuchh ki sab nok-e-zabaa.n hai us ko
Qayem Chaandpuri
Sher
vo qissa-e-dard-aagii.n chup kar diyaa thaa jis ne
tum se na sunaa jaataa mujh se na bayaa.n hotaa
Arzoo Lakhnavi
Sher
gesuu-e-taabdaar ko aur bhii taabdaar kar
hosh o KHirad shikaar kar qalb o nazar shikaar kar
Allama Iqbal
Sher
Unknown
Sher
jab kisii ne qad o gesuu kaa fasaana chhe.Daa
baat ba.Dh ke rasan-o-daar tak aa pahu.nchii hai
Kaleem Usmani
Sher
hai shaam-e-avadh gesuu-e-dildaar kaa partav
aur sub.h-e-banaras hai ruKH-e-yaar kaa partav
Wahid Premi
Sher
andaaz muqaddar ke hai.n gesuu-e-jaanaa.n se
jo gaah ulajhte hai.n aur gaah sa.nvarte hai.n
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
bayaan qissa-e-bechaargii kiyaa jaa.e
jo dil kii rah ga.ii dil me.n use kahaa jaa.e