SEARCH RESULTS
Showing search results for "qutbaa.n"
Sher MATCHES FOR "qutbaa.n"
Sher
kaifiyat mahfil-e-KHuubaa.n kii na us bin puuchho
us ko dekhuu.n na to phir de mujhe dikhlaa.ii kyaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
ye ajiib maajraa hai ki ba-roz-e-iid-e-qurbaa.n
vahii zab.h bhii kare hai vahii le savaab ulTaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
hai mohabbat is vatan se apnii miTTii se hame.n
is liye apnaa kare.nge jaan-o-tan qurbaan ham
Unknown
Sher
tere qurbaan 'qamar' mu.nh sar-e-gulzaar na khol
sadqe us chaa.nd sii suurat pe na ho jaa.e bahaar
Qamar Jalalvi
Sher
kahte hai.n tirii zulf kuu.n dekh ahl-e-sharii.at
qurbaan hai is kufr par iimaan hamaaraa
Siraj Aurangabadi
Sher
ishq-e-mizhgaa.n me.n hazaaro.n ne gale kaTvaa.e
iid-e-qurbaa.n me.n jo vo le ke chhurii baiTh gayaa
Shad Lakhnavi
Sher
Azra Naqvi
Sher
mu.nh pher kar vo kahte hai.n bas maan jaa.iye
is sharm is lihaaz ke qurbaan jaa.iye
Bekhud Dehlvi
Sher
us pe qurbaan ki jis ne tirii aavaaz sunii
sadqe us aa.nkh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
Auj lakhnavi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
mai.n ajab ye rasm dekhii mujhe roz-e-iid-e-qurbaa.n
vahii zab.h bhii kare aur vahii le savaab ulTaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Turab Kakorvi
Sher
qurbaan sau tarah se kiyaa tujh par aap ko
tuu bhii kabhuu to jaan na aayaa bajaa.e iid
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
paa-e-kuubaa.n ko.ii zindaa.n me.n nayaa hai majnuu.n
aatii aavaaz-e-salaasil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Sher
KHuubaan-e-jahaa.n kii hai tire husn se KHuubii
tuu KHuub na hotaa to ko.ii KHuub na hotaa