SEARCH RESULTS
Showing search results for "ra.uuf"
Sher MATCHES FOR "ra.uuf"
Sher
haDDiyaa.n baap kii guude se hu.ii hai.n KHaalii
kam se kam ab to ye beTe bhii kamaane lag jaa.e.n
Raoof Khair
Sher
KHamoshii merii lai me.n gungunaanaa chaahtii hai
kisii se baat karne kaa bahaanaa chaahtii hai
Abdur Rauf Urooj
Sher
vo ye kahte hai.n sadaa ho to tumhaare jaisii
is kaa matlab to yahii hai ki pukaare jaa.o
Rauf Raza
Sher
nurse ko dekh ke aa jaatii hai mu.nh pe raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Rauf Raheem
Sher
yuu.nhii ha.nste hu.e chho.De.nge Gazal kii mahfil
ek aa.nsuu se ziyaada ko.ii rone kaa nahii.n
Rauf Raza
Sher
Raoof Khair
Sher
ye tabassum kaa ujaalaa ye nigaaho.n kii sahar
log yuu.n bhii to chhupaate hai.n a.ndhere dil me.n
Abdur Rauf Urooj
Sher
millat kii aabruu ko milaataa hai KHaak me.n
leader hamaaraa kitnaa ba.Daa KHaaksaar hai
Rauf Raheem
Sher
vo jo ik shaKHs tumhe.n yaad kiyaa kartaa thaa
aaj masruuf bahut hai use tum yaad karo
Rauf Raza
Sher
khulegaa un pe jo bainassutuur pa.Dhte hai.n
vo harf harf jo aKHbaar me.n nahii.n aataa
Raoof Khair
Sher
Rauf Raza
Sher
nafas ke loch ko KHanjar banaanaa chaahtii hai
mohabbat apnii tezii aazmaanaa chaahtii hai
Abdur Rauf Urooj
Sher
bikharte KHvaabo.n se ta.abiir ke dhu.ndlako.n tak
muhaajrat ne kachoke bahut lagaa.e hai.n
Rauf Khalish
Sher
zulmate.n vahshat-e-fardaa se niDhaal
Dhuu.nDhtii phirtii hai.n ghar KHvaabo.n kaa
Abdur Rauf Urooj
Sher
apne ustaad ke shero.n kaa tiyaa paa.ncha kiyaa
ai rahiim aap ke fan me.n ye kamaal achchhaa hai
Rauf Raheem
Sher
saare ahbaab me.n bad-naam tumhe.n kar degii
apne ahvaal pa.Dosan se chhupaa kar rakhnaa
Rauf Raheem
Sher
saarii KHushii hamaarii aa.nkho.n se chhan rahii hai
kuchh der tum ne gesuu lahraa diye to kyaa hai