SEARCH RESULTS
Showing search results for "raabit"
Sher MATCHES FOR "raabit"
Sher
hogaa kisii diivaar ke saa.e me.n pa.Daa 'miir'
kyaa rabt mohabbat se us aaraam-talab ko
Meer Taqi Meer
Sher
andar kii duniyaa se rabt ba.Dhaa.o 'aanis'
baahar khulne vaalii khi.Dkii band pa.Dii hai
Aanis Moin
Sher
vaqt ik zarb lagaa.e to Gazal hotii hai
dard agar dil me.n samaa.e to Gazal hotii hai
Rabia Sultana Nashad
Sher
Saghar Siddiqui
Sher
tumhaare baa'd KHudaa jaane kyaa hu.aa dil ko
kisii se rabt ba.Dhaane kaa hausla na hu.aa
Saifuddin Saif
Sher
na ho ki qurb hii phir marg-e-rabt ban jaa.e
vo ab mile to zaraa us se faasla rakhnaa
Iftikhar Naseem
Sher
saath us ke rah sake na baGair us ke rah sake
ye rabt hai charaaG kaa kaisaa havaa ke saath
Saleem Ahmed
Sher
kis tarah rabt na ho zulf se diivaano.n ko
rabt hotaa hai pareshaa.n se pareshaano.n ko
Meer Najaf Ali Najaf
Sher
va.ade aur e'tibaar me.n hai rabt-e-baahamii
is rabt-e-baahamii kaa magar e'tibaar kiyaa
Nushur Wahidi
Sher
dilo.n kaa haal to ye hai ki rabt hai na gurez
mohabbate.n to ga.ii.n thii adaavate.n bhii ga.ii.n
Sahar Ansari
Sher
phuulo.n me.n Gazal rakhnaa ye raat kii raanii hai
is me.n tirii zulfo.n kii be-rabt kahaanii hai
Bashir Badr
Sher
rabt hai us ko zamaane se bahut suntaa huu.n
ko.ii tarkiib karuu.n mai.n bhii zamaana ho jaa.uu.n
Kausar Mazhari
Sher
Arshad Jamal Sarim
Sher
mai.n us ko kho ke bhii us ko pukaartii hii rahii
ki saaraa rabt to aavaaz ke safar kaa thaa
Mansoora Ahmad
Sher
mire liye shab-e-mahtaab ik qayaamat hai
tum aa.o chaa.nd sitaaro.n me.n dil nahii.n lagtaa
Rabia Sultana Nashad
Sher
qurb hii kam hai na duurii hii ziyaada lekin
aaj vo rabt kaa ehsaas kahaa.n hai ki jo thaa