SEARCH RESULTS
Showing search results for "raabta-e-dair-o-haram"
Sher MATCHES FOR "raabta-e-dair-o-haram"
Sher
ai dair-o-haram vaalo tum dil kii taraf dekho
ka.abe kaa ye ka.aba hai but-KHaane kaa but-KHaana
Nooh Narvi
Sher
bhaTke phire do amla-e-dair-o-haram me.n ham
is samt kufr us taraf islaam le gayaa
Muneer Shikohabadi
Sher
hu.ii hai.n dair o haram me.n ye saazishe.n kaisii
dhu.aa.n saa uThne lagaa shahr ke makaano.n se
Kumar Pashi
Sher
mai.n dair o haram ho ke tire kuuche me.n pahu.nchaa
do manzilo.n kaa pher bas ai yaar pa.Daa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
dair-o-haram ko dekh liyaa KHaak bhii nahii.n
bas ai talaash-e-yaar na dar-dar phiraa mujhe
Bekhud Badayuni
Sher
aaj tak dair-o-haram me.n teG hii chaltii rahii
laakh ham-rindo.n ne chaahaa shiisha-o-saaGar chale.n
Shauq Asar Rampuri
Sher
na sirf dair-o-haram balki cha.Dh ke daar pe bhii
tire pukaarne vaale tujhe pukaar ga.e
Mahram Lakhnavi
Sher
garmii-e-dair-o-haram se na miTii dil kii tapish
kar liyaa soz-e-jigar se hii sharaara paidaa
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
Sher
ai ishq kahii.n le chal ye dair-o-haram chhuuTe.n
in dono.n makaano.n me.n jhag.Daa nazar aataa hai
Muztar Khairabadi
Sher
yaad karte hai.n tujhe dair-o-haram me.n shab-o-roz
ahl-e-tasbiih judaa saahib-e-zunnaar judaa
Meer Mohammadi Bedar
Sher
dair o haram ba-chashm-e-haqiiqat nahii.n judaa
ya.anii ma.aal-e-sub.ha-o-zunnaar ek hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hai.n dair-o-haram me.n to bhare shaiKH-o-barahman
juz KHaana-e-dil kiijiye phir qasd kidhar kaa
Joshish Azimabadi
Sher
sajda-gaah-e-barhaman aur shaiKH hai.n dair-o-haram
mai-parasto.n ke liye buniyaad mai-KHaane hu.e
Hasrat Azimabadi
Sher
kyaa thii vo dair-o-haram kii duniyaa
jo bhii duniyaa kaa KHudaa thaa kyaa thaa