SEARCH RESULTS
Showing search results for "raagii"
Sher MATCHES FOR "raagii"
Sher
Khwaja Meer Dard
Sher
jaane vaale se mulaaqaat na hone paa.ii
dil kii dil me.n hii rahii baat na hone paa.ii
Shakeel Badayuni
Sher
ab to utnii bhii mayassar nahii.n mai-KHaane me.n
jitnii ham chho.D diyaa karte the paimaane me.n
Divakar Rahi
Sher
ham to samjhe the ki ik zaKHm hai bhar jaa.egaa
kyaa KHabar thii ki rag-e-jaa.n me.n utar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
jab yaar ne uThaa kar zulfo.n ke baal baa.ndhe
tab mai.n ne apne dil me.n laakho.n KHayaal baa.ndhe
Mohammad Rafi Sauda
Sher
mahak rahii hai zamii.n chaa.ndnii ke phuulo.n se
KHudaa kisii kii mohabbat pe muskuraayaa hai
Bashir Badr
Sher
mai.n phuul chuntii rahii aur mujhe KHabar na hu.ii
vo shaKHs aa ke mire shahr se chalaa bhii gayaa
Parveen Shakir
Sher
ik naam kyaa likhaa tiraa saahil kii ret par
phir umr bhar havaa se mirii dushmanii rahii
Shakil Akhtar
Sher
aisaa nahii.n ki un se mohabbat nahii.n rahii
jazbaat me.n vo pahlii sii shiddat nahii.n rahii