SEARCH RESULTS
Showing search results for "raan"
Sher MATCHES FOR "raan"
Sher
mai.n ne jo kachkachaa kar kal un kii raan kaaTii
to un ne kis maze se merii zabaan kaaTii
Insha Allah Khan Insha
Sher
kis sher kii aamad hai ki ran kaa.np rahaa hai
rustam kaa jigar zer-e-kafan kaa.np rahaa hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
sub.h savere ran pa.Dnaa hai aur ghamsaan kaa ran
raato.n raat chalaa jaa.e jis ko jaanaa hai
Iftikhar Arif
Sher
masaaf-e-ziist me.n vo ran pa.Daa hai aaj ke din
na mai.n tumhaarii tamannaa huu.n aur na tum mere
Mahmood Ayaz
Sher
phir shaah ne bai'at hii talab kii nahii.n varna
jo ran me.n hu.aa thaa vahii darbaar me.n hotaa
Saleem Siddiqui
Sher
'zahuur' karnaa hai ran mubaddal-ba-kisht mujh ko
mai.n apnii talvaar kuuT kar hal banaa rahaa huu.n
Zahoor Minhas
Sher
zahr sii raat lahuu aur ye ghamsaan kaa ran
diida-e-tar se qayaamat nahii.n dekhii jaatii
Moid Rasheedi
Sher
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
Jaleel 'Aali'
Sher
dil me.n kisii ke raah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
kitnaa hasii.n gunaah kiye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
ik raat vo gayaa thaa jahaa.n baat rok ke
ab tak rukaa hu.aa huu.n vahii.n raat rok ke
Farhat Ehsas
Sher
tumhaarii aa.nkho.n kii tauhiin hai zaraa socho
tumhaaraa chaahne vaalaa sharaab piitaa hai
Munawwar Rana
Sher
duniyaa kii mahfilo.n se uktaa gayaa huu.n yaa rab
kyaa lutf anjuman kaa jab dil hii bujh gayaa ho