SEARCH RESULTS
Showing search results for "raftagaa.n"
Sher MATCHES FOR "raftagaa.n"
Sher
ab yaad-e-raftagaa.n kii bhii himmat nahii.n rahii
yaaro.n ne kitnii duur basaa.ii hai.n bastiyaa.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
fikr-e-ma.aash ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
is zindagii me.n ab ko.ii kyaa kyaa kiyaa kare
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ham apne raftagaa.n ko yaad rakhnaa chaahte hai.n
dilo.n ko dard se aabaad rakhnaa chaahte hai.n
Iftikhar Arif
Sher
ye ajnabii sii manzile.n aur raftagaa.n kii yaad
tanhaa.iyo.n kaa zahr hai aur ham hai.n dosto
Muneer Niyazi
Sher
fikr-e-ma.aash o ishq-e-butaa.n yaad-e-raftagaa.n
in mushkilo.n se ahd-bar.aa.ii na ho sakii
Tilok Chand Mahroom
Sher
mai.n vo bastii huu.n ki yaad-e-raftagaa.n ke bhes me.n
dekhne aatii hai ab merii hii viiraanii mujhe
Hafeez Jalandhari
Sher
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Sher
dastak pe ab gharo.n se ko.ii boltaa nahii.n
pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagaa.n na thaa
Anees Ashfaq
Sher
naqsh-e-paa-e-raftagaa.n se aa rahii hai ye sadaa
do qadam me.n raah tai hai shauq-e-manzil chaahiye
Unknown
Sher
KHud-raftagii hai chashm-e-haqiiqat jo vaa hu.ii
darvaaza khul gayaa to mai.n ghar se nikal gayaa