SEARCH RESULTS
Showing search results for "raftagaa.n"
Ghazal MATCHES FOR "raftagaa.n"
Ghazal
KHabar kyaa duu.n mai.n shahr-e-raftagaa.n kii
ko.ii lauTe bhii shahr-e-raftagaa.n se
Jaun Eliya
Ghazal
be-tesha-e-nazar na chalo raah-e-raftagaa.n
har naqsh-e-paa buland hai diivaar kii tarah
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
ab raftagaa.n kii baat nahii.n kaarvaa.n kii hai
jis samt bhii ho gard-e-safar jaanaa chaahiye
Ahmad Faraz
Ghazal
Abbas Tabish
Ghazal
ye ajnabii sii manzile.n aur raftagaa.n kii yaad
tanhaa.iyo.n kaa zahr hai aur ham hai.n dosto
Muneer Niyazi
Ghazal
do jaam un ke naam bhii ai piir-e-mai-kada
jin raftagaa.n ke saath hamesha sharaab pii
Ahmad Faraz
Ghazal
kyaa jaane daab sohbat az KHvesh raftagaa.n kaa
majlis me.n shaiKH-saahib kuchh kuud jaante hai.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
Ashu Mishra
Ghazal
raftagaa.n tum ne abas Dho.ng rachaayaa varna
ishq ko daKHl nahii.n maut kii arzaanii me.n
Abbas Tabish
Ghazal
ba-zid hai dil ki na.e raaste nikaale jaa.e.n
nishaan-e-rah-guzar-e-raftagaa.n ke hote hu.e
Iftikhar Arif
Ghazal
gum ho ke har jagah hai.n za-KHud raftagaan-e-ishq
un kii bhii ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
agar kabhii mujhe maujuudgaa.n se fursat ho
to raftagaa.n mirii nii.nde.n haraam karte hai.n
Abbas Tabish
Ghazal
bhuul saktaa hai unhe.n ko.ii bhii aise kaise
raftagaa.n dil me.n basaa karte hai.n kaise kaise
Wasi Shah
Ghazal
Ahmad Mushtaq
Ghazal
ham apne raftagaa.n ko yaad rakhnaa chaahte hai.n
dilo.n ko dard se aabaad rakhnaa chaahte hai.n