SEARCH RESULTS
Showing search results for "rag"
Sher MATCHES FOR "rag"
Sher
ham to samjhe the ki ik zaKHm hai bhar jaa.egaa
kyaa KHabar thii ki rag-e-jaa.n me.n utar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
aziiz-tar mujhe rakhtaa hai vo rag-e-jaa.n se
ye baat sach hai miraa baap kam nahii.n maa.n se
Tahir Shaheer
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Nazeer Baaqri
Sher
aaj yaaro.n ko mubaarak ho ki sub.h-e-eid hai
raag hai mai hai chaman hai dilrubaa hai diid hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
tere naGmo.n se hai rag rag me.n tarannum paidaa
ishrat-e-ruuh hai zaalim tirii aavaaz nahii.n
Saghar Nizami
Sher
mausam-e-holii hai din aa.e hai.n rang aur raag ke
ham se tum kuchh maa.ngne aa.o bahaane phaag ke
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
pahle rag rag se mirii KHuun nicho.Daa us ne
ab ye kahtaa hai ki ra.ngat hii mirii piilii hai
Muzaffar Warsi
Sher
hichkiyo.n par ho rahaa hai zindagii kaa raag KHatm
jhaTke de kar taar to.De jaa rahe hai.n saaz ke
Natiq Gulavthi
Sher
pur huu.n mai.n shikve se yuu.n raag se jaise baajaa
ik zaraa chhe.Diye phir dekhiye kyaa hotaa hai
Mirza Ghalib
Sher
mujhe vo chho.D kar jab se gayaa hai intihaa hai
rag-o-pai me.n fazaa-e-karbalaa hai intihaa hai
Tahir Adeem
Sher
Asghar Gondvi
Sher
jo thii bahaar to gaate rahe bahaar kaa raag
KHizaa.n jo aa.ii to ham ho ga.e KHizaa.n kii taraf
Jaleel Manikpuri
Sher
bandhan saa ik ba.ndhaa thaa rag-o-pai se jism me.n
marne ke baa'd haath se motii bikhar ga.e
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
Sher
tirii nigaah se bachne me.n umr guzrii hai
utar gayaa rag-e-jaa.n me.n ye neshtar phir bhii