SEARCH RESULTS
Showing search results for "rah-rav-e-raah"
Sher MATCHES FOR "rah-rav-e-raah"
Sher
mile jo vaqt to ai rah-rav-e-rah-e-iksiir
haqiir KHaak se bhii saaz-baaz kartaa jaa
Josh Malihabadi
Sher
ham vo rah-rav hai.n ki chalnaa hii hai maslak jin kaa
ham to Thukraa de.n agar raah me.n manzil aa.e
Wahid Premi
Sher
chaaliis jaam pii ke diyaa ek jaam-e-mai
saaqii ne KHuub raah nikaalii zakaat kii
Kalb-e-husain Nadir
Sher
yuu.n sar-e-raah mulaaqaat hu.ii hai aksar
us ne dekhaa bhii nahii.n ham ne pukaaraa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
dil me.n aa raah-e-chashm-e-hairaa.n sii.n
khul rahe hai.n mirii palak ke paaT
Siraj Aurangabadi
Sher
vaamaa.ndgaan-e-raah to manzil pe jaa pa.De
ab tuu bhii ai 'naziir' yahaa.n se qadam taraash
Nazeer Akbarabadi
Sher
zamaana aql ko samjhaa hu.aa hai mish.al-e-raah
kise KHabar ki junuu.n bhii hai saahib-e-idraak
Allama Iqbal
Sher
Bekhud Dehlvi
Sher
abas ilzaam mat do mushkilaat-e-raah ko 'raahii'
tumhaare hii iraade me.n kamii ma.aluum hotii hai
Divakar Rahi
Sher
zindagii TuuT ke bikhrii hai sar-e-raah abhii
haadisa kahiye ise yaa ki tamaashaa kahiye
Daood Mohsin
Sher
saKHtii-e-raah khii.nchiye manzil ke shauq me.n
aaraam kii talaash me.n iizaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
masjid kii sar-e-raah binaa Daal na zaahid
is rok se hone ke nahii.n kuu-e-butaa.n band
Mubarak Azimabadi
Sher
tum jaano tum ko Gair se jo rasm-o-raah ho
mujh ko bhii puuchhte raho to kyaa gunaah ho
Mirza Ghalib
Sher
mai.n sa.ng-e-rah nahii.n jo uThaa kar tuu phe.nk de
mai.n aisaa marhala huu.n jo sau baar aa.egaa
Musavvir Sabzwari
Sher
kha.Daa hu.aa huu.n sar-e-raah muntazir kab se
ki ko.ii guzre to Gam kaa ye bojh uThvaa de
Abdul Hafiz Naeemi
Sher
mai.n sa.ng-e-rah huu.n to Thokar kii zad pe aa.uu.ngaa
tum aa.iina ho to phir TuuTnaa zaruurii hai
Musavvir Sabzwari
Sher
Gubaar-e-raah chalaa saath ye bhii kyaa kam hai
safar me.n aur ko.ii ham-safar mile na mile