SEARCH RESULTS
Showing search results for "rahe.n"
Sher MATCHES FOR "rahe.n"
Sher
jii Dhuu.nDtaa hai phir vahii fursat ki raat din
baiThe rahe.n tasavvur-e-jaanaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
duniyaa to chaahtii hai yuu.nhii faasle rahe.n
duniyaa ke mashvaro.n pe na jaa us galii me.n chal
Habib Jalib
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
aane vaale jaane vaale har zamaane ke liye
aadmii mazduur hai raahe.n banaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
ye vafaa kii saKHt raahe.n ye tumhaare paa.nv naazuk
na lo intiqaam mujh se mire saath saath chal ke
Khumar Barabankavi
Sher
kisii ke vaaste raahe.n kahaa.n badaltii hai.n
tum apne aap ko KHud hii badal sako to chalo
Nida Fazli
Sher
Muneer Niyazi
Sher
hujuum aisaa ki raahe.n nazar nahii.n aatii.n
nasiib aisaa ki ab tak to qaafila na hu.aa
Ahmad Faraz
Sher
laakh kahte rahe.n zulmat ko na zulmat likhnaa
ham ne siikhaa nahii.n pyaare ba-ijaazat likhnaa
Habib Jalib
Sher
lafzo.n kaa KHazaana bhii kabhii kaam na aa.e
baiThe rahe.n likhne ko tiraa naam na aa.e
Khaleel Mamoon
Sher
ab aa.o mil ke so rahe.n takraar ho chukii
aa.nkho.n me.n nii.nd bhii hai bahut raat kam bhii hai
Nizam Rampuri
Sher
ulfat kaa hai maza ki 'asar' Gam bhii saath ho.n
taariikiyaa.n bhii saath rahe.n raushnii ke saath
Asar Akbarabadi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
tiraa shabaab rahe ham rahe.n sharaab rahe
ye daur aish kaa taa daur-e-aaftaab rahe
Jaleel Manikpuri
Sher
kaam auro.n ke jaarii rahe.n naakaam rahe.n ham
ab aap kii sarkaar me.n kyaa kaam hamaaraa