SEARCH RESULTS
Showing search results for "rahiin-e-naqsh-e-paa"
Sher MATCHES FOR "rahiin-e-naqsh-e-paa"
Sher
naqsh-e-paa-e-raftagaa.n se aa rahii hai ye sadaa
do qadam me.n raah tai hai shauq-e-manzil chaahiye
Unknown
Sher
jo rahnumaa the mere kahaa.n hai.n vo naqsh-e-paa
manzil pe chho.Dtaa thaa jo rasta kidhar gayaa
Javed Nadeem
Sher
aa.ndhii chalii to naqsh-e-kaf-e-paa nahii.n milaa
dil jis se mil gayaa vo dobaaraa nahii.n milaa
Mustafa Zaidi
Sher
Goya Faqir Mohammad
Sher
sab kuchh milaa hame.n jo tire naqsh-e-paa mile
haadii mile daliil mile rahnumaa mile
Zaheer Dehlvi
Sher
jis kaa naqsh-e-paa hii miil kaa patthar hai
kuchh to KHuubii hogii us banjaare me.n
Dinesh Kumar
Sher
rau.nde hai naqsh-e-paa kii tarah KHalq yaa.n mujhe
ai umr-e-rafta chho.D ga.ii tuu kahaa.n mujhe
Khwaja Meer Dard
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
us naqsh-e-paa ke sajde ne kyaa kyaa kiyaa zaliil
mai.n kuucha-e-raqiib me.n bhii sar ke bal gayaa
Momin Khan Momin
Sher
jab tak kisii kaa naqsh-e-kaf-e-paa hame.n milaa
ham se kuchh aur duur zamaana nikal gayaa
Azizunnisa Naz
Sher
yaa dil hai miraa yaa tiraa naqsh-e-kaf-e-paa hai
gul hai ki ik aa.iina sar-e-raah pa.Daa hai
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
misaal-e-naqsh-e-qadam baiTh kuu-e-jaanaa.n me.n
miTaa sake tujhe lekin ko.ii uThaa na sake
Unknown
Sher
basaan-e-naqsh-e-qadam tere dar se ahl-e-vafaa
uThaate sar nahii.n hargiz tabaah ke maare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
naqsh-o-nigaar-e-husn-e-haqiiqii bhii shai hai kyaa
palke.n tirii lagaa le.n agar muu-qalam me.n ham