SEARCH RESULTS
Showing search results for "rahm"
Sher MATCHES FOR "rahm"
Sher
ai dost tujh ko rahm na aa.e to kyaa karuu.n
dushman bhii mere haal pe ab aab-diida hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
mujhe to un kii ibaadat pe rahm aataa hai
jabii.n ke saath jo sajde me.n dil jhukaa na sake
Khumar Barabankavi
Sher
Bayan Ahsanullah Khan
Sher
zaalim tuu merii saada-dilii par to rahm kar
ruuThaa thaa tujh se aap hii aur aap man gayaa
Qayem Chaandpuri
Sher
Inamullah Khan Yaqeen
Sher
dosto.n se dushmanii aur dushmano.n se dostii
be-muravvat bevafaa be-rahm ye kyaa Dha.ng hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
mahshar me.n paas kyuu.n dam-e-fariyaad aa gayaa
rahm us ne kab kiyaa thaa ki ab yaad aa gayaa
Momin Khan Momin
Sher
KHud rahm kiijiye dil-e-ummiid-vaar par
aaphii nikaaliye ko.ii suurat nibaah kii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
sabr kii taab nahii.n jis ko vo dil hai meraa
rahm kaa naam nahii.n jis me.n vo teraa dil hai
Jaleel Manikpuri
Sher
KHudaa jaane ajal ko pahle kis par rahm aa.egaa
giraftaar-e-qafas par yaa giraftaar-e-nasheman par
Yagana Changezi
Sher
ik kaafir-e-mutlaq hai zulmat kii javaanii bhii
be-rahm a.ndheraa hai sham.e.n hai.n na parvaane
Siraj Lakhnavi
Sher
rahm kar masto.n pe kab tak taaq par rakkhegaa tuu
saaGar-e-mai saaqiyaa zaahid kaa iimaa.n ho gayaa
Qalaq Merathi
Sher
dekhtaa huu.n tuu nahii.n rahm ke qaabil ko.ii
sochtaa huu.n to hazaaro.n taras aataa hai
Obaid Azam Azmi
Sher
Muzaffar Warsi
Sher
buto.n ke dil me.n hamaarii kuchh ab hu.ii hai jagah
KHudaa ne rahm kiyaa varna mar ga.e hote
Rasheed lakhnavi
Sher
puuchhe jo tujh se ko.ii ki 'taskii.n' se kyuu.n milaa
kah diijo haal dekh ke rahm aa gayaa mujhe
Taskeen Dehlavi
Sher
havaa ke rahm-o-karam par huu.n be-Thikaana huu.n
shajar se TuuTaa hu.aa ek zard pattaa huu.n