SEARCH RESULTS
Showing search results for "rakhe"
Sher MATCHES FOR "rakhe"
Sher
Ahmad Faraz
Sher
dil bhii paagal hai ki us shaKHs se vaabasta hai
jo kisii aur kaa hone de na apnaa rakkhe
Ahmad Faraz
Sher
havaa ke dosh pe rakkhe hu.e charaaG hai.n ham
jo bujh ga.e to havaa se shikaayate.n kaisii
Obaidullah Aleem
Sher
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai mirii jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
Ahmad Faraz
Sher
ham ko ma.aluum hai jannat kii haqiiqat lekin
dil ke KHush rakhne ko 'Gaalib' ye KHayaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
KHushii kii aarzuu kyaa dil me.n Thahre
tire Gam ne biThaa rakkhe hai.n pahre
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
aaj rakkhe hai.n qadam us ne mirii chaukhaT par
aaj dahliiz mirii chhat ke baraabar hu.ii hai
Saleem Siddiqui
Sher
Hasrat Jaipuri
Sher
saare sapne baa.ndh rakhe hai.n gaThrii me.n
ye gaThrii bhii auro.n me.n baT jaa.egii
Aziz Nabeel
Sher
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
mirii ummiid kaa suuraj ki terii aas kaa chaa.nd
diye tamaam hii ruKH par havaa ke rakkhe the
Zafar Moradabadi
Sher
khulii zabaan to zarf un kaa ho gayaa zaahir
hazaar bhed chhupaa rakkhe the KHamoshii me.n
Anwar Sadeed
Sher
ka.ii javaabo.n se achchhii hai KHaamushii merii
na jaane kitne savaalo.n kii aabruu rakkhe
Unknown
Sher
Unknown
Sher
ham pe jo guzrii bataayaa na bataa.e.nge kabhii
kitne KHat ab bhii tire naam likhe rakkhe hai.n