SEARCH RESULTS
Showing search results for "raqs-e-naa-tamaam"
Sher MATCHES FOR "raqs-e-naa-tamaam"
Sher
raaz-e-hayaat puuchh le KHizr-e-KHajista gaam se
zinda har ek chiiz hai koshish-e-naa-tamaam se
Allama Iqbal
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
raas aa.ii hai na aa.egii ye duniyaa lekin
rok rakkhaa hai mujhe kuuch kii tayyaarii ne
Ghulam Husain Sajid
Sher
kaaGaz tamaam kilk tamaam aur ham tamaam
par daastaan-e-shauq abhii naa-tamaam hai
Aadil Aseer Dehlvi
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
Ashar Najmi
Sher
royaa tamaam umr vo shabnam ke saath saath
phir kyo.n kahuu.n ki dard-e-gul-e-tar me.n kuchh na thaa
Qamar Rais Bahraichi
Sher
thii vasl me.n bhii fikr-e-judaa.ii tamaam shab
vo aa.e to bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
raas aa jaatii.n hame.n bhii iid kii KHushiyaa.n tamaam
kaash tuu bhii paas hotaa iid ke lamhaat me.n
Unknown
Sher
kal vasl me.n bhii nii.nd na aa.ii tamaam shab
ek ek baat par thii la.Daa.ii tamaam shab
Mamnoon Nizamuddin
Sher
dikhaa ke jumbish-e-lab hii tamaam kar ham ko
na de jo bosa to mu.nh se kahii.n javaab to de
Mirza Ghalib
Sher
tamaam umr isii ehtiyaat me.n guzrii
ki aashiyaa.n kisii shaaKH-e-chaman pe baar na ho
Meer Anees
Sher
iiraad kar na pa.Dh ke miraa KHat ki ye tamaam
be-rabtiyaa.n hai.n samra-e-ha.ngaam-e-ishtiyaaq
Qayem Chaandpuri
Sher
is chashm o dil ne kahnaa na maanaa tamaam umr
ham par KHaraabii laa.ii ye ghar hii kii phuuT-phaaT
Raza Azimabadi
Sher
tamaam umr kamii kii kabhii na paanii ne
ajab kariim kii rahmat hai diida-e-tar par