SEARCH RESULTS
Showing search results for "rashk-e-jannat"
Sher MATCHES FOR "rashk-e-jannat"
Sher
Nawab Shahabadi
Sher
lahore rashk-e-gulshan-e-firdaus hai magar
be-rang-o-be-nashaat hai ai jaa.n tire baGair
Raaz Muradabadi
Sher
mire rashk-e-be-nihaayat ko na puuchh mere dil se
tujhe tujh se bhii chhupaataa agar iKHtiyaar hotaa
Jigar Moradabadi
Sher
dhamkaa ke bose luu.ngaa ruKH-e-rashk-e-maah kaa
chandaa vasuul hotaa hai saahab dabaav se
Akbar Allahabadi
Sher
Rizwanullah
Sher
rakhtaa hai ibaadat ke liye hasrat-e-jannat
zaahid kii KHudaa saath mohabbat sababii hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
rashk-e-jinaa.n chaman ko banaanaa basant kaa
har har kalii me.n rang dikhaanaa basant kaa
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Sher
Imdad Ali Bahr
Sher
nabz-e-biimaar jo ai rashk-e-masiihaa dekhii
aaj kyaa aap ne jaatii hu.ii duniyaa dekhii
Ameer Minai
Sher
dozaKH o jannat hai.n ab merii nazar ke saamne
ghar raqiibo.n ne banaayaa us ke ghar ke saamne
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
ai rashk-e-maah raat ko muTThii na kholnaa
mehdii kaa chor haath se jaa.e na chhuuT ke
Muneer Shikohabadi
Sher
shaayad aa jaa.e kabhii dekhne vo rashk-e-masiih
mai.n kisii aur se is vaaste achchhaa na hu.aa
Anwar Taban
Sher
apne kuuche me.n mujhe rone to de ai rashk-e-gul
baaGbaa.n paanii hamesha dete hai.n gulzaar ko
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
us rashk-e-chaman ke ta.ii.n gar dekhne paa.uu.n
marne se jo bach jaa.uu.n to phuulaa na samaa.uu.n
Ishrat Bareilvi
Sher
ahl-e-jannat mujhe lete hai.n na dozaKH vaale
kis jagah jaa ke tumhaaraa ye gunahgaar rahe