SEARCH RESULTS
Showing search results for "rasm-o-rah-e-dil"
Sher MATCHES FOR "rasm-o-rah-e-dil"
Sher
kisii se rasm-o-rah-e-dostii to kyaa karte
hamaaraa KHud se ta.aaruf bhii Gaa.ebaana thaa
Naresh Kumar Shad
Sher
tum jaano tum ko Gair se jo rasm-o-raah ho
mujh ko bhii puuchhte raho to kyaa gunaah ho
Mirza Ghalib
Sher
jab aap hii ko paas nahii.n rasm-o-raah kaa
kyaa faa.eda jo ho bhii iraada nibaah kaa
Rahmat Azimabadi
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
jo log guzarte hai.n musalsal rah-e-dil se
din eid kaa un ko ho mubaarak tah-e-dil se
Obaid Azam Azmi
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
raah-e-dil ko rau.nd kar aage nikal jaa.e.nge log
aa.nkh me.n uThtaa Gubaar-e-qaafila rah jaa.egaa
imtiyaz Khan
Sher
mile jo vaqt to ai rah-rav-e-rah-e-iksiir
haqiir KHaak se bhii saaz-baaz kartaa jaa
Josh Malihabadi
Sher
vahii be-vaj.h udaasii vahii be-naam KHalish
raah-o-rasm-e-dil-e-naakaam se jii Dartaa hai
Javed Kamal Rampuri
Sher
dil me.n aa raah-e-chashm-e-hairaa.n sii.n
khul rahe hai.n mirii palak ke paaT
Siraj Aurangabadi
Sher
jaada-e-raah-e-mohabbat kii daraazii mat puuchh
manzil-e-shauq kaa har zarra bayaabaa.n niklaa
Zafar Ahmad Siddiqi
Sher
ik ta.aaruf to zaruurii hai sar-e-raah-e-junuu.n
dasht vaale na.e barbaad ko kab jaante hai.n
Aziz Nabeel
Sher
kis ne rokaa hai sar-e-raah-e-mohabbat tum ko
tumhe.n nafrat hai to nafrat se tum aa.o jaa.o
Rafi Raza
Sher
rahrav-e-raah-e-mohabbat rah na jaanaa raah me.n
lazzat-e-sahraa-navardii duurii-e-manzil me.n hai