SEARCH RESULTS
Showing search results for "rau.ndne"
Sher MATCHES FOR "rau.ndne"
Sher
duniyaa ko rau.ndne kaa hunar jaantaa huu.n mai.n
lekin ye sochtaa huu.n ki duniyaa ke baa'd kyaa
Khursheed Akbar
Sher
badan ko rau.ndne vaalo zamiir zinda hai
jo haq kii puuchh rahe ho to haq adaa na hu.aa
Mohsin Bhopali
Sher
kal jinhe.n chhuu nahii.n saktii thii farishto.n kii nazar
aaj vo raunaq-e-baazaar nazar aate hai.n
Saghar Siddiqui
Sher
dil-e-muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
mai.n KHud aayaa nahii.n laayaa gayaa huu.n
Shad Azimabadi
Sher
dil ke viiraane me.n ghuume to bhaTak jaa.oge
raunaq-e-kuucha-o-baazaar se aage na ba.Dho
Ada Jafarey
Sher
raunaq-e-bazm nahii.n thaa ko.ii tujh se pahle
raunaq-e-bazm tire baa'd nahii.n hai ko.ii
Sarfaraz Khalid
Sher
raah-e-dil ko rau.nd kar aage nikal jaa.e.nge log
aa.nkh me.n uThtaa Gubaar-e-qaafila rah jaa.egaa
imtiyaz Khan
Sher
qadmo.n me.n saa.e kii tarah rau.nde ga.e hai.n ham
ham se ziyaada teraa talabgaar kaun hai
Saleem Kausar
Sher
rau.nde hai naqsh-e-paa kii tarah KHalq yaa.n mujhe
ai umr-e-rafta chho.D ga.ii tuu kahaa.n mujhe
Khwaja Meer Dard
Sher
Nooh Narvi
Sher
ai parii husn tiraa raunaq-e-hindustaa.n hai
husn-e-yuusuf hai faqat misr ke baazaar kaa ruup
Rind Lakhnavi
Sher
ye zindagii jise apnaa samajh rahe hai.n sab
hai musta.aar faqat raunaq-e-jahaa.n ke liye
Matin Niazi
Sher
dhokaa hai numaa.ish hai tamaashaa hai guzar jaa
ye raunaq-e-baazaar ye duniyaa hai guzar jaa