SEARCH RESULTS
Showing search results for "ravayya"
Sher MATCHES FOR "ravayya"
Sher
us ne is tarah se badla hai ravayya apnaa
puuchhnaa pa.Dtaa hai har vaqt tumhii.n ho naa dost
Inaam azmi
Sher
qaasid kaa ravayya bhii ba.Daa Gaur-talab thaa
nai le ke gayaa aaKHirii maktuub hamaaraa
Abu Hurrairah Abbasi
Sher
shadiid pyaas thii phir bhii chhu.aa na paanii ko
mai.n dekhtaa rahaa dariyaa tirii ravaanii ko
Shahryar
Sher
patthar ke jigar vaalo Gam me.n vo ravaanii hai
KHud raah banaa legaa bahtaa hu.aa paanii hai
Bashir Badr
Sher
shikva ko.ii dariyaa kii ravaanii se nahii.n hai
rishta hii mirii pyaas kaa paanii se nahii.n hai
Shahryar
Sher
kashtii-e-mai ko hukm-e-ravaanii bhii bhej do
jab aag bhej dii hai to paanii bhii bhej do
Josh Malihabadi
Sher
dil sulagtaa hai tire sard ravayye se miraa
dekh ab barf ne kyaa aag lagaa rakkhii hai
Anwar Masood
Sher
ravaana kar to rahaa hai vo ha.nste ha.nste mujhe
mai.n jaantaa huu.n mire baa'd KHuub ro.egaa
Ameen Shaikh
Sher
na puuchh haal miraa chob-e-KHushk-e-sahraa huu.n
lagaa ke aag mujhe kaarvaa.n ravaana hu.aa
Haidar Ali Aatish
Sher
bahtii hu.ii aa.nkho.n kii ravaanii me.n mare hai.n
kuchh KHvaab mire ain-javaanii me.n mare hai.n
Ejaaz tawakkal
Sher
dukh ke safar pe dil ko ravaana to kar diyaa
ab saarii umr haath hilaate rahe.nge ham
Ahmad Mushtaq
Sher
mai.n apne aap me.n gahraa utar gayaa shaayad
mire safar se alag ho ga.ii ravaanii mirii
Abbas Tabish
Sher
mazaa hai ahd-e-javaanii me.n sar paTakne kaa
lahuu me.n phir ye ravaanii rahe rahe na rahe
Chakbast Braj Narayan
Sher
Thahrii Thahrii sii tabii.at me.n ravaanii aa.ii
aaj phir yaad mohabbat kii kahaanii aa.ii
Iqbal Ashhar
Sher
shaa.irii jhuuT sahii ishq fasaana hii sahii
zinda rahne ke liye ko.ii bahaana hii sahii
Sameena Raja
Sher
dariyaa se mauj mauj se dariyaa judaa nahii.n
ham se judaa nahii.n hai KHudaa aur KHudaa se ham