SEARCH RESULTS
Showing search results for "regzaar"
Sher MATCHES FOR "regzaar"
Sher
maazii ke reg-zaar pe rakhnaa sambhal ke paa.nv
bachcho.n kaa is me.n ko.ii gharau.ndaa banaa na ho
Abdul Hafiz Naeemi
Sher
dariyaa dikhaa.ii detaa hai har ek reg-zaar
shaayad ki in dino.n mujhe shiddat kii pyaas hai
Wali Aasi
Sher
kin manzaro.n me.n mujh ko mahaknaa thaa 'aaftaab'
kis regzaar par huu.n mai.n aa kar khilaa hu.aa
Aftab Hussain
Sher
ga.e the ham bhii bahr kii taho.n me.n jhuumte hu.e
har ek siip ke labo.n me.n sirf regzaar thaa
Ambar Bahraichi
Sher
abhii se falsafa-e-reg-zaar kii baate.n
abhii to 'ishq ke maktab me.n haazirii hu.ii hai
Shehzad Anjum Burhani
Sher
mai.n usii koh-sifat KHuun kii ik buu.nd huu.n jo
reg-zaar-e-najaf o KHaak-e-KHuraasaa.n se milaa
Mustafa Zaidi
Sher
milnaa thaa ittifaaq bichha.Dnaa nasiib thaa
vo utnii duur ho gayaa jitnaa qariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
kuchh din se zindagii mujhe pahchaantii nahii.n
yuu.n dekhtii hai jaise mujhe jaantii nahii.n
Anjum Rehbar
Sher
maa.n mujhe dekh ke naaraaz na ho jaa.e kahii.n
sar pe aa.nchal nahii.n hotaa hai to Dar hotaa hai
Anjum Rehbar
Sher
dafnaa diyaa gayaa mujhe chaa.ndii kii qabr me.n
mai.n jis ko chaahtii thii vo la.Dkaa Gariib thaa
Anjum Rehbar
Sher
'anjum' tumhaaraa shahr jidhar hai usii taraf
ik rail jaa rahii thii ki tum yaad aa ga.e