SEARCH RESULTS
Showing search results for "rif.at-e-charkh-e-barii.n"
Sher MATCHES FOR "rif.at-e-charkh-e-barii.n"
Sher
ai charKH-e-piir zor-e-javaanii se dar-guzar
ab paas chaahiye tujhe pusht-e-KHamiida kaa
Naseem Dehlvi
Sher
ai sakinaan-e-charKH-e-mu.allaa bacho bacho
tuufaa.n hu.aa buland mire aab-diida kaa
Naseem Dehlvi
Sher
'yaas' is charKH-e-zamaana-saaz kaa kyaa e'tibaar
mehrbaa.n hai aaj kal naa-mehrbaa.n ho jaa.egaa
Yagana Changezi
Sher
ho gayaa charKH-e-sitamgar kaa kaleja ThanDaa
mar ga.e pyaas se dariyaa ke kinaare bachche
Bedil Haidri
Sher
jo aaj cha.Dhaate hai.n hame.n arsh-e-barii.n par
do din ko utaare.nge vahii log zamii.n par
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
farishte dekh rahe hai.n zamiin o charKH kaa rabt
ye faasla bhii to insaa.n kii ek jast lage
Bekal Utsahi
Sher
ai charKH be-kasii pe hamaarii nazar na kar
jo kuchh ki tujh se ho sake tuu dar-guzar na kar
Joshish Azimabadi
Sher
KHudaa daraaz kare umr charKH-e-niilii kii
ye bekaso.n ke mazaaro.n kaa shaamiyaana hai
Haidar Ali Aatish
Sher
detaa hai mujh ko charKH-e-kuhan baar baar daaG
uf ek meraa siina hai us par hazaar daaG
Ranjoor Azimabadi
Sher
misaal-e-charKH rahaa aasmaa.n sar-gardaa.n
par aaj tak na khulaa ye ki justujuu kyaa hai
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
gardish-e-charKH nahii.n kam bhii hanDole se ki mahr
shaam ko maah se uu.nchaa hai sahar hai niichaa
Shah Naseer
Sher
Bayan Meeruthi
Sher
shab-e-visaal kab aatii hai mere ghar ai charKH
ki us ke piichhe se dau.Dii sahar nahii.n aatii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Qayem Chaandpuri
Sher
Shah Naseer
Sher
Goya Faqir Mohammad
Sher
Shah Naseer
Sher
aamad pe terii itr o charaaG o subuu na ho.n
itnaa bhii buud-o-baash ko saada nahii.n kiyaa