SEARCH RESULTS
Showing search results for "rihaa"
Sher MATCHES FOR "rihaa"
Sher
Jaun Eliya
Sher
rihaa kar de qafas kii qaid se ghaayal parinde ko
kisii ke dard ko is dil me.n kitne saal paalegaa
Aitbar Sajid
Sher
Bilal Ahmad
Sher
mai.n ne itnaa use chaahaa hai ki vo jaan-e-muraad
KHud ko zanjiir-e-mohabbat se rihaa chaahtii hai
Irfan Siddiqi
Sher
badan ne chho.D diyaa ruuh ne rihaa na kiyaa
mai.n qaid hii me.n rahaa qaid se nikal ke bhii
Sabir Zafar
Sher
par sameTe KHud hii baiThaa hai parinda ik taraf
jo qafas me.n hii nahii.n us ko rihaa kaise karuu.n
Aisha Ayub
Sher
vo tiraa uu.nchii havelii ke qafas me.n rahnaa
yaad aa.e to parindo.n ko rihaa kartaa huu.n
Mansoor Aafaque
Sher
Shabana Yousaf
Sher
Unknown
Sher
hu.e asiir to phir umr bhar rihaa na hu.e
hamaare gird ta'alluq kaa jaal aisaa thaa
Anvar Mahmood Khalid
Sher
fikr-e-sitam me.n aap bhii paaband ho ga.e
tum mujh ko chho.D do to mai.n tum ko rihaa karuu.n
Qalaq Merathi
Sher
qaidii rihaa hu.e the pahan kar na.e libaas
ham to qafas se o.Dh ke zanjiir chal pa.De
Asif Saqib
Sher
tum ne to aap hii pinjre ko khulaa chho.D diyaa
ko.ii aise bhii parindo.n ko rihaa kartaa hai
Tarkash Pradeep
Sher
ho jaatii hai havaa qafas-e-tan se chhaT ke ruuh
kyaa said bhaagtaa hai rihaa ho ke daam se
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
ai zamaane kii havaa ab to rihaa kar mujh ko
ishq ke baad bhii kuchh kaam saa rah jaataa hai