SEARCH RESULTS
Showing search results for "rihaa"
Ghazal MATCHES FOR "rihaa"
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
ai maut mujhe tuu ne musiibat se nikaalaa
sayyaad samajhtaa thaa rihaa ho nahii.n saktaa
Munawwar Rana
Ghazal
Rajesh Reddy
Ghazal
aa.nkh se aa.nsuu nikal jaa.e.nge aur Tahnii se phuul
vaqt badlegaa to sab qaidii rihaa ho jaa.e.nge
Ahmad Mushtaq
Ghazal
mai.n apne hone kii takmiil chaahtaa huu.n sakhii
so ab badan kii hiraasat se kar rihaa mujh ko
Ali Zaryoun
Ghazal
Muztar Khairabadi
Ghazal
azhdahaa ban ke rag-o-pai ko jaka.D letaa hai
itnaa aasaan nahii.n Gam se rihaa ho jaanaa
Rehman Faris
Ghazal
merii hii zamzama-sanjii se chaman thaa aabaad
kiyaa sayyaad ne ik ik ko rihaa mere ba.ad
Munawar Khan Ghafil
Ghazal
rihaa hu.e pa ajab haal hai asiiro.n kaa
ki ab vo apne paro.n ko talaash karte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
shaGl-e-sayyaad yahii sub.h o masaa hotaa hai
qaid hotaa hai ko.ii ko.ii rihaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Ghazal
gunaah-e-ishq rihaa hote hii kare.nge phir
gavaah ban.naa nahii.n muKHbirii nahii.n karnii
Swapnil Tiwari
Ghazal
Daar se us kii na 'irfaan' judaa kar us ko
khol ye band-e-vafaa aur rihaa kar us ko
Irfan Siddiqi
Ghazal
hauslo.n pe in parindo.n ke na karnaa shak kabhii
hai rihaa honaa jinhe.n pi.njra paro.n se kaaT kar