SEARCH RESULTS
Showing search results for "rogan"
Sher MATCHES FOR "rogan"
Sher
badan me.n aag hai roGan mire KHayaal me.n hai
judaa hii rah abhii KHatra bahut visaal me.n hai
Vipul Kumar
Sher
mai.n vo dozaKH huu.n ki aatish par mirii
aab bhii chhi.Dkaa to roGan ho gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai.n ne roGan kii tijaarat to nahii.n kii lekin
shahr ke saare charaaGo.n ke nasab jaantaa huu.n
Saleem Siddiqui
Sher
Mirza Daood Beg
Sher
rago.n me.n dau.Dte phirne ke ham nahii.n qaa.il
jab aa.nkh hii se na Tapkaa to phir lahuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
aavaaz de ke dekh lo shaayad vo mil hii jaa.e
varna ye umr bhar kaa safar raa.egaa.n to hai
Muneer Niyazi
Sher
duniyaa ne terii yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb hai.n Gam rozgaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Ahmad Faraz
Sher
Dagh Dehlvi
Sher
janaab ke ruKH-e-raushan kii diid ho jaatii
to ham siyaah-nasiibo.n kii iid ho jaatii
Anwar Shuoor
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
paal le ik rog naadaa.n zindagii ke vaaste
sirf sehhat ke sahaare umr to kaTtii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ye dil kaa dard to umro.n kaa rog hai pyaare
so jaa.e bhii to pahr do pahr ko jaataa hai
Ahmad Faraz
Sher
ilaahii ek Gam-e-rozgaar kyaa kam thaa
ki ishq bhej diyaa jaan-e-mubtalaa ke liye