SEARCH RESULTS
Showing search results for "roz-e-azal"
Sher MATCHES FOR "roz-e-azal"
Sher
Manmohan Talkh
Sher
roz-e-azal se saath hai islaam-o-kufr kaa
kab daana-haa-e-sub.ha se zunnaar rah gayaa
Imdad Ali Bahr
Sher
Ijtiba Rizvi
Sher
kisii ke aqd me.n rahtii nahii.n hai luulii-e-dahr
ye qahba roz-e-azal se hai kuchh talaaq-nasiib
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kuchh to kamii ho roz-e-jazaa ke azaab me.n
ab se piyaa kare.nge milaa kar gulaab me.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
roz-e-hisaab jab miraa pesh ho daftar-e-amal
aap bhii sharmsaar ho mujh ko bhii sharmsaar kar
Allama Iqbal
Sher
mai.n ajab ye rasm dekhii mujhe roz-e-iid-e-qurbaa.n
vahii zab.h bhii kare aur vahii le savaab ulTaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
roz-o-shab-e-hayaat ke KHaano.n me.n baa.nT kar
qisto.n me.n KHud-kushii ke vasaa.il hu.e hai.n log
Mahboob Anwar
Sher
Azra Naqvi
Sher
mai.n bistar-e-KHayaal pe leTaa huu.n us ke paas
sub.h-e-azal se ko.ii taqaazaa kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
saaqii ne nigaaho.n se pilaa dii hai Gazab kii
rindaan-e-azal dekhiye kab hosh me.n aa.e.n
Figar Unnavi
Sher
roz-e-visaal jis ko kahtii hai KHalq vo hii
maz.hab me.n aashiqo.n ke roz-e-vafaat bhii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hai roz-e-panj-shamba tuu faatiha dilaa de
ghar tere kushtagaa.n kii ruuhe.n na aa.iyaa.n ho.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ye ajiib maajraa hai ki ba-roz-e-iid-e-qurbaa.n
vahii zab.h bhii kare hai vahii le savaab ulTaa
Insha Allah Khan Insha
Sher
Allama Iqbal
Sher
kii hai ustaad-e-azal ne ye rubaa.ii mauzuu.n
chaar unsur se khule ma.anii-e-pinhaa.n ham ko
Shah Naseer
Sher
aaj tak sub.h-e-azal se vahii sannaaTaa hai
ishq kaa ghar kabhii sharminda-e-mehmaa.n na hu.aa