SEARCH RESULTS
Showing search results for "ruKHsat-e-naala"
Sher MATCHES FOR "ruKHsat-e-naala"
Sher
itnii fursat de ki ruKHsat ho le.n ai sayyaad ham
muddato.n is baaG ke saaye me.n the aazaad ham
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
Imtiyaz Ahmad Qamar
Sher
ajiib hote hai.n aadaab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki vo bhii uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa ko.ii
Sahar Ansari
Sher
mat puuchh vaardaat-e-shab-e-hijr ai 'nasiir'
mai.n kyaa kahuu.n jo kaar-e-numaayaan-e-naala thaa
Shah Naseer
Sher
gosh-e-mushtaaq-e-sadaa-e-naala-e-dil ab kahaa.n
sher agar dil ke lahuu me.n Duub kar nikle to kyaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne manzil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
manzar-e-shaam-e-Gariibaa.n hai dam-e-ruKHsat-e-KHvaab
ta.aziye kii tarah uTThaa hai ko.ii bistar se
Azhar Faragh
Sher
yaaraan-e-tez-gaam ne mahmil ko jaa liyaa
ham mahv-e-naala-e-jaras-e-kaarvaa.n rahe
Altaf Hussain Hali
Sher
mai.n aasmaan-e-mohabbat se ruKHsat-e-shab huu.n
tiraa KHayaal ko.ii Duubtaa sitaara hai
Firaq Gorakhpuri
Sher
chaman se ruKHsat-e-gul hai na lauTne ke liye
to bulbulo.n kaa ta.Dapnaa yahaa.n pe jaa.ez hai
Unknown
Sher
mai.n ne dekhaa hai chaman se ruKHsat-e-gul kaa samaa.n
sab se pahle rang maddham ek kone se hu.aa
Javed Shaheen
Sher
chaman se ruKHsat-e-‘faanii’ qariib hai shaayad
ki ab ke buu-e-kafan daaman-e-bahaar me.n hai
Fani Badayuni
Sher
sayyaad ke jigar me.n kare thaa sinaa.n kaa kaam
murG-e-qafas ke sar pe ye ehsaan-e-naala thaa
Shah Naseer
Sher
Meer Hasan
Sher
sharar-e-naala-e-bulbul se lagii un me.n aag
jo shajar baaG me.n the phuulne phalne vaale