SEARCH RESULTS
Showing search results for "rukhsaare"
Sher MATCHES FOR "rukhsaare"
Sher
Sahir Dehlavi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
Unknown
Sher
qalaq-e-dil se hai.n jaise mire ruKHsaare zard
phuul ge.nde ke bhii ho.n aise na bechaare zard
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
us ko ruKHsat to kiyaa thaa mujhe ma.aluum na thaa
saaraa ghar le gayaa ghar chho.D ke jaane vaalaa
Nida Fazli
Sher
so dekh kar tire ruKHsaar o lab yaqii.n aayaa
ki phuul khilte hai.n gulzaar ke alaava bhii
Ahmad Faraz
Sher
un ke ruKHsaar pe Dhalke hu.e aa.nsuu tauba
mai.n ne shabnam ko bhii sho.alo.n pe machalte dekhaa
Sahir Ludhianvi
Sher
ajiib hote hai.n aadaab-e-ruKHsat-e-mahfil
ki vo bhii uTh ke gayaa jis kaa ghar na thaa ko.ii
Sahar Ansari
Sher
ab tum kabhii na aa.oge yaanii kabhii kabhii
ruKHsat karo mujhe ko.ii va.ada kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
is qadar thaa khaTmalo.n kaa chaarpaa.ii me.n hujuum
vasl kaa dil se mire armaan ruKHsat ho gayaa
Akbar Allahabadi
Sher
Ghaus Khah makhah Hyderabadi
Sher
ab mai.n samjhaa tire ruKHsaar pe til kaa matlab
daulat-e-husn pe darbaan biThaa rakkhaa hai
Unknown
Sher
Azhar Faragh
Sher
bosa-e-ruKHsaar par takraar rahne diijiye
liijiye yaa diijiye inkaar rahne diijiye
Hafeez Jaunpuri
Sher
mai.n baaG me.n huu.n taalib-e-diidaar kisii kaa
gul par hai nazar dhyaan me.n ruKHsaar kisii kaa
Taashshuq Lakhnavi
Sher
Parveen Shakir
Sher
aap kyaa aa.e ki ruKHsat sab andhere ho ga.e
is qadar ghar me.n kabhii bhii raushnii dekhii na thii