SEARCH RESULTS
Showing search results for "rustam-o-suhraab"
Sher MATCHES FOR "rustam-o-suhraab"
Sher
kuucha-e-husn chhuTaa to hu.e rusvaa-e-sharaab
apnii qismat me.n jo likkhii thii vo KHvaarii na ga.ii
Akhtar Shirani
Sher
KHaak-e-sahraa-e-junuu.n narm hai resham kii tarah
aabla hai na ko.ii aabla-paa mere ba.ad
Shahzad Ahmad
Sher
ajiib baat hai kiicha.D me.n lahlahaa.e ka.nval
phaTe puraane se jismo.n pe saj ke resham aa.e
Ibn-e-Safi
Sher
dariyaa-e-sharaab us ne bahaayaa hai hamesha
saaqii se jo kashtii ke talabgaar hu.e hai.n
Kalb-e-husain Nadir
Sher
shukriya ai gardish-e-jaam-e-sharaab
mai.n bharii mahfil me.n tanhaa ho gayaa
Salam Machhli shahri
Sher
na puuchh haal miraa chob-e-KHushk-e-sahraa huu.n
lagaa ke aag mujhe kaarvaa.n ravaana hu.aa
Haidar Ali Aatish
Sher
sitam-e-garmii-e-sahraa mujhe ma.aluum na thaa
KHushk ho jaa.egaa dariyaa mujhe ma.aluum na thaa
Kamal Jafari
Sher
sarso.n jo phuulii diida-e-jaam-e-sharaab me.n
bint-ul-anab se karne lagaa shoKHiyaa.n basant
Muneer Shikohabadi
Sher
vahshat me.n bhii minnat-kash-e-sahraa nahii.n hote
kuchh log bikhar kar bhii tamaashaa nahii.n hote
Zehra Nigaah
Sher
Mirza Hadi Ruswa
Sher
mai.n tishna thaa mujhe sar-chashma-e-saraab diyaa
thake badan ko mire pattharo.n me.n daab diyaa
Zeb Ghauri
Sher
kaafii hai bahut vus.at-e-sahraa-e-zamaana
ham aur kahii.n Dhuu.nD nikaale.nge Thikaana
Iqbal Sohail
Sher
mu.nh me.n vaa.iz ke bhii bhar aataa hai paanii aksar
jab kabhii tazkira-e-jaam-e-sharaab aataa hai