SEARCH RESULTS
Showing search results for "ruuh-e-ravaa.n"
Sher MATCHES FOR "ruuh-e-ravaa.n"
Sher
jism ne ruuh-e-ravaa.n se ye kahaa turbat me.n
ab mujhe chho.D ke tanhaa tuu kahaa.n jaatii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo baada-nosh haqiiqat hai is jahaa.n me.n 'ravaa.n'
ki jhuum jaa.e falak gar use KHumaar aa.e
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
ravaa.n hai qaafila-e-ruuh-e-iltifaat abhii
hamaarii raah se haT jaa.e kaa.enaat abhii
Saba Akbarabadi
Sher
Ajiz Matvi
Sher
kisii kii mahram-e-aab-e-ravaa.n vo yaad aa.ii
habaab ke jo baraabar kabhii habaab aayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
umr sayyaad kii guzrii isii jaasuusii me.n
gul ko naama na kare murG-e-giraftaar-e-ravaa.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ik KHalish ko haasil-e-umr-e-ravaa.n rahne diyaa
jaan kar ham ne unhe.n naa-mehrbaa.n rahne diyaa
Adeeb Saharanpuri
Sher
chashma-e-aab-e-ravaa.n hai jo saraab-e-jaa.n me.n
us kii har lahr me.n raqsaa.n hai tarannum teraa
Ishrat Zafar
Sher
Shibli Nomani
Sher
chalne kii ijaazat hai faqat teG-e-ravaa.n ko
qaatil kii galii rahguzar-e-aam nahii.n hai
Jaleel Manikpuri
Sher
yaarab mire gunaah kyaa aur ehtisaab kyaa
kuchh dii nahii.n hai KHizr sii umr-e-ravaa.n mujhe
Anees Ahmad Anees
Sher
aaj dariyaa me.n ajab shor ajab halchal hai
kis kii kashtii ne qadam aab-e-ravaa.n par rakkhaa
Khurshid Talab
Sher
KHaak-e-badan tirii sab paamaal hogii ik din
reg-e-ravaa.n banegaa aaKHir ko ye jaziira
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
aap Thahre hai.n to Thahraa hai nizaam-e-aalam
aap guzre hai.n to ik mauj-e-ravaa.n guzrii hai