SEARCH RESULTS
Showing search results for "sa.ng-e-sar-e-raah"
Sher MATCHES FOR "sa.ng-e-sar-e-raah"
Sher
yuu.n sar-e-raah mulaaqaat hu.ii hai aksar
us ne dekhaa bhii nahii.n ham ne pukaaraa bhii nahii.n
Iqbal Azeem
Sher
ik ta.aaruf to zaruurii hai sar-e-raah-e-junuu.n
dasht vaale na.e barbaad ko kab jaante hai.n
Aziz Nabeel
Sher
kis ne rokaa hai sar-e-raah-e-mohabbat tum ko
tumhe.n nafrat hai to nafrat se tum aa.o jaa.o
Rafi Raza
Sher
ham sar-e-raah-e-vafaa us ko sadaa kyaa dete
jaane vaale ne palaT kar hame.n dekhaa bhii na thaa
Gulnar Aafreen
Sher
zindagii TuuT ke bikhrii hai sar-e-raah abhii
haadisa kahiye ise yaa ki tamaashaa kahiye
Daood Mohsin
Sher
masjid kii sar-e-raah binaa Daal na zaahid
is rok se hone ke nahii.n kuu-e-butaa.n band
Mubarak Azimabadi
Sher
kha.Daa hu.aa huu.n sar-e-raah muntazir kab se
ki ko.ii guzre to Gam kaa ye bojh uThvaa de
Abdul Hafiz Naeemi
Sher
Iqbal Kausar
Sher
Anjum Irfani
Sher
vahii qatra jo kabhii kunj-e-sar-e-chashm me.n thaa
ab jo phailaa hai to sailaab hu.aa jaataa hai
Kausar Mazhari
Sher
khaave.nge Taa.nke zaKHm-e-sar-o-ruu par ai tabiib
par zaKHm-e-dil to ham se silaayaa na jaa.egaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tuu hai ma.anii parda-e-alfaaz se baahar to aa
aise pas-manzar me.n kyaa rahnaa sar-e-manzar to aa
Faza Ibn e Faizi
Sher
laa.e ga.e pahle to sar-e-dasht-e-ijaazat
maare ga.e phir vaadii-e-inkaar me.n ham log
Aziz Nabeel
Sher
ek din Garq na kar de tujhe ye sail-e-vajuud
dekh ho jaa.e na paanii kahii.n sar se uu.nchaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
tanhaa kha.Daa huu.n mai.n bhii sar-e-karbalaa-e-asr
aur sochtaa huu.n mere taraf-daar kyaa hu.e
Mohsin Ehsan
Sher
ham ki hai.n naqsh sar-e-reg-e-ravaa.nk kyaa jaane
kab ko.ii mauj-e-havaa apnaa nishaa.n le jaa.e