SEARCH RESULTS
Showing search results for "saada-bayaa.n"
Sher MATCHES FOR "saada-bayaa.n"
Sher
bahut ghuTan hai ko.ii suurat-e-bayaa.n nikle
agar sadaa na uThe kam se kam fuGaa.n nikle
Sahir Ludhianvi
Sher
ashko.n ke nishaa.n parcha-e-saada pe hai.n qaasid
ab kuchh na bayaa.n kar ye ibaarat hii bahut hai
Ehsan Ali Khan
Sher
chale ga.e to pukaaregii har sadaa ham ko
na jaane kitnii zabaano.n se ham bayaa.n ho.nge
Ibrahim Ashk
Sher
shab KHvaab me.n jo us ke dahan se dahan lagaa
khulte hii aa.nkh kaa.npne saaraa badan lagaa
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
tujh saa ko.ii jahaan me.n naazuk-badan kahaa.n
ye pa.nkhu.Dii se ho.nT ye gul saa badan kahaa.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
dil le gayaa hai meraa vo siim-tan churaa kar
sharmaa ke jo chale hai saaraa badan churaa kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ajab sii aag thii jaltaa rahaa badan saaraa
tamaam umr vo ho.nTo.n pe ban ke pyaas rahaa
Bashir Farooqi
Sher
ye haal hai to badan ko bachaa.iye kab tak
sadaa me.n dhuup bahut hai lahuu me.n luu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
laazim kahaa.n ki saaraa jahaa.n KHush-libaas ho
mailaa badan pahan ke na itnaa udaas ho
Wazir Agha
Sher
Baqaullah 'Baqa'
Sher
badan kaa saaraa lahuu khi.nch ke aa gayaa ruKH par
vo ek bosa hame.n de ke surKH-ruu hai bahut
Zafar Iqbal
Sher
us ne aa.nchal se nikaalii mirii gum-gashta bayaaz
aur chupke se mohabbat kaa varaq mo.D diyaa
Javed Saba
Sher
hama bayaaz the har samt qurmuzii 'aariz
mai.n kaise saa’ad-e-siimii.n pe dastaKHat kartaa
Zahoor Minhas
Sher
chhuu le sabaa jo aa ke mire gul-badan ke paa.nv
qaa.em na ho.n chaman me.n nasiim-e-chaman ke paa.nv
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
ye tiir yuu.n hii nahii.n dushmano.n talak jaate
badan kaa saaraa khichaa.o kamaa.n pe pa.Dtaa hai