SEARCH RESULTS
Showing search results for "saaf-dil"
Sher MATCHES FOR "saaf-dil"
Sher
Mirza Daood Beg
Sher
dosto.n ke saath din me.n baiTh kar ha.nstaa rahaa
apne kamre me.n vo jaa kar KHuub royaa raat bhar
Aslam Aazad
Sher
Idris Babar
Sher
kabhii na badle dil-e-baa-safaa ke taur-tariiq
aduu milaa to use bhii salaam karte rahe
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
'bahzaad' saaf saaf mai.n kahtaa huu.n haal-e-dil
sharminda-e-kamaal mirii shaa.irii nahii.n
Behzad Lakhnavi
Sher
dil saaf ho kis tarah ki insaaf nahii.n hai
insaaf ho kis tarah ki dil saaf nahii.n hai
Mirza Salaamat Ali Dabeer
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
baaqii kii mohabbat me.n dil saaf hu.aa itnaa
jab sar ko jhukaataa huu.n shiisha nazar aataa hai
Muztar Khairabadi
Sher
ab to saaf suntaa huu.n apne dil kii har dha.Dkan
aur kyaa dikhaa.egii ye taviil tanhaa.ii
Shahzad Ahmad
Sher
saaf-o-shaffaaf thii paanii kii tarah niyyat-e-dil
dekhne vaalo.n ne dekhaa ise gadlaa kar ke
Zafar Iqbal
Sher
KHayaal us saf-e-mizhgaa.n kaa dil me.n aa.egaa
hamaare mulk me.n bhartii sipaah kii hogii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
dil se to har mo.aamla kar ke chale the saaf ham
kahne me.n un ke saamne baat badal badal ga.ii
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mandir bhii saaf ham ne kiye masjide.n bhii paak
mushkil ye hai ki dil kii safaa.ii na ho sakii
Tilok Chand Mahroom
Sher
saaf dekhaa hai ki Guncho.n ne lahuu thuukaa hai
mausam-e-gul me.n ilaahii ko.ii dil-giir na ho
Taashshuq Lakhnavi
Sher
kaafuur hu.ii jab se mire dil kii syaahii
har chehra mujhe saaf nazar aane lagaa hai