SEARCH RESULTS
Showing search results for "saafaa"
Sher MATCHES FOR "saafaa"
Sher
sidq-o-safaa-e-qalb se mahruum hai hayaat
karte hai.n bandagii bhii jahannam ke Dar se ham
Shakeel Badayuni
Sher
charKH ko kab ye saliiqa hai sitamgaarii me.n
ko.ii ma.ashuuq hai is parda-e-za.ngaarii me.n
Mannu Lal Safa Lakhnvi
Sher
go ki ham saf.ha-e-hastii pe the ek harf-e-Galat
lekin uTThe bhii to ik naqsh biThaa kar uThe
Momin Khan Momin
Sher
pahchaan jin se thii vo havaale miTaa diye
us ne kitaab-e-zaat kaa safha badal diyaa
Fatima Hasan
Sher
Quli Qutub Shah
Sher
kabhii na badle dil-e-baa-safaa ke taur-tariiq
aduu milaa to use bhii salaam karte rahe
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
mai.n bhii is safha-e-hastii pe ubhar saktaa huu.n
ra.ng to tum mirii tasviir me.n bhar kar dekho
Abdul Hafiz Naeemi
Sher
kitnaa tanik safaa hai ki paa-e-nigaah kaa
halkaa saa ik Gubaar hai chehre ke rang par
Nazeer Akbarabadi
Sher
Ateeb Quadri
Sher
dil bayaaz-e-umr kii auraaq-gardaanii me.n hai
kyaa KHabar hai kaun saa safha khulaa rah jaa.egaa
Tauseef Tabassum
Sher
zaabte aur hii misdaaq pe rakkhe hu.e hai.n
aaj-kal sidq-o-safaa taaq pe rakkhe hu.e hai.n
Gulzar Bukhari
Sher
musta.id huu.n tire zulfo.n kii siyaahii le kar
safha-e-naama-e-aamaal kuu.n kaalaa karne
Siraj Aurangabadi
Sher
us harf-e-baa-safaa ne to suulii cha.Dhaa diyaa
vo ek harf-e-haq jo mire haafize me.n thaa
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
ab judaa.ii ke safar ko mire aasaan karo
tum mujhe KHvaab me.n aa kar na pareshaan karo
Munawwar Rana
Sher
na ham-safar na kisii ham-nashii.n se niklegaa
hamaare paa.nv kaa kaa.nTaa hamii.n se niklegaa