SEARCH RESULTS
Showing search results for "saaz-e-hunar"
Sher MATCHES FOR "saaz-e-hunar"
Sher
lahuu hii kitnaa hai jo chashm-e-tar se niklegaa
yahaa.n bhii kaam na arz-e-hunar se niklegaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
shaayad isii kaa naam jumuud-e-hayaat hai
ahl-e-hunar ko fursat-e-kasb-e-hunar nahii.n
Mahram Lakhnavi
Sher
dayaar-e-fikr-o-hunar ko nikhaarne vaalaa
kahaa.n gayaa mirii duniyaa sa.nvaarne vaalaa
Farrukh Zohra Gilani
Sher
har bazm kyuu.n numaa.ish-e-zaKHm-e-hunar bane
har bhed apne dosto.n ke darmiyaa.n na khol
Saleem Shahid
Sher
mire lahuu ko mirii KHaak-e-naaguziir ko dekh
yuu.nhii saliiqa-e-arz-e-hunar nahii.n aayaa
Sahar Ansari
Sher
'qaa.em' mai.n reKHta ko diyaa KHil.at-e-qubuul
varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kyaa kamaal thaa
Qayem Chaandpuri
Sher
us kii muTThii me.n javaahir the nazar merii taraf
aur mujhe pairaaya-e-arz-e-hunar aataa na thaa
Anees Ashfaq
Sher
Mustafa Rahi
Sher
mirii zindagii kaa mahvar yahii soz-o-saaz-e-hastii
kabhii jazb-e-vaalhaana kabhii zabt-e-aarifaana
Farooq Banspari
Sher
kushta-e-zabt-e-fuGaa.n naGma-e-be-saaz-o-sadaa
uf vo aa.nsuu jo lahuu ban ke Tapaktaa hogaa
Haneef Akhgar
Sher
Unknown
Sher
is mahfil me.n mai.n bhii kyaa bebaak hu.aa
aib o hunar kaa saaraa parda chaak hu.aa
Umair Manzar
Sher
shaa.irii ilm-o-hunar maz.hab siyaasat baad me.n
sab se pahle aadmii insaan honaa chaahiye