SEARCH RESULTS
Showing search results for "sabr-o-shukr"
Sher MATCHES FOR "sabr-o-shukr"
Sher
Ibn e Insha
Sher
kahaa.n se laa.uu.n sabr-e-hazrat-e-ayyuub ai saaqii
KHum aa.egaa suraahii aa.egii tab jaam aa.egaa
Shad Azimabadi
Sher
sabr-o-qaraar-e-dil mire jaane kahaa.n chale ga.e
bichh.De hu.e na phir mile aise hu.e judaa ki bas
Akhtar Muslimi
Sher
judaa.iyo.n ke zaKHm dard-e-zindagii ne bhar diye
tujhe bhii nii.nd aa ga.ii mujhe bhii sabr aa gayaa
Nasir Kazmi
Sher
vo mujh ko chho.D ke jis aadmii ke paas gayaa
baraabarii kaa bhii hotaa to sabr aa jaataa
Parveen Shakir
Sher
maa.ngne par kyaa na degaa taaqat-e-sabr-o-sukuun
jis ne be maa.nge ataa kar dii pareshaanii mujhe
Manzar Lakhnavi
Sher
kisii pe karnaa nahii.n e'tibaar merii tarah
luTaa ke baiThoge sabr o qaraar merii tarah
Fareed Parbati
Sher
adaa hu.aa na kabhii mujh se ek sajda-e-shukr
mai.n kis zabaa.n se karuu.ngaa shikaayate.n terii
Anjum Irfani
Sher
bil-ehtimaam zulm kii tajdiid kii ga.ii
aur ham ko sabr-o-zabt kii taakiid kii ga.ii
Iqbal Azeem
Sher
havaa-e-kuufa-e-naa-mehrbaa.n ko hairat hai
ki log KHema-e-sabr-o-razaa me.n zinda hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
zamaane-bhar kii du.aa.e.n mire liye thii.n magar
mai.n chaahtaa hii nahii.n thaa ki sabr aa jaa.e
Haseebul Hasan
Sher
sabr ai dil ki ye haalat nahii.n dekhii jaatii
Thahr ai dard ki ab zabt kaa yaaraa na rahaa
Habeeb Ashar Dehlavi
Sher
le gayaa chhiin ke kaun aaj tiraa sabr o qaraar
be-qaraarii tujhe ai dil kabhii aisii to na thii
Bahadur Shah Zafar
Sher
maanaa burii KHabar hai pa terii KHabar to hai
sabr-o-qaraar nazr karuu.n naama-bar ko mai.n
Ismail Merathi
Sher
mai.n apnii maa.n ke vasiile se zinda-tar Thahruu.n
ki vo lahuu mire sabr-o-razaa me.n raushan hai
Abul Hasanat Haqqi
Sher
hosh-o-havaas sabr-o-tavaa.n sab hii jaa chuke
kuchh jaan le ki ab tirii baarii hai zindagii