SEARCH RESULTS
Showing search results for "sadaa-bahaar"
Sher MATCHES FOR "sadaa-bahaar"
Sher
sadaa-bahaar ho tum aur merii qismat ho
ko.ii bahaar na thii is bahaar se pahle
Nazneen Begum Naz
Sher
KHizaa.n kaa daur bhii aataa hai ek din 'kaifii'
sadaa-bahaar kahaa.n tak daraKHt rahte hai.n
Iqbal Kaifi
Sher
vahii hai rang abhii tak jigar ke daaGo.n kaa
yahaa.n jo phuul khilaa vo sadaa bahaar hu.aa
Jaleel Manikpuri
Sher
sher me.n saath ravaanii ke ma.aanii bhii to bhar
ai 'sadaa' qaid tuu kuuze me.n samundar kar de
Sada Ambalvi
Sher
bulbul hu.aa hai dekh sadaa rang kii bahaar
is saal 'aabruu' kuu.n ban aa.ii basant rut
Abroo Shah Mubarak
Sher
sadaa paan khaa khaa ke nikle hai baahar
zamaane me.n KHuu.n-KHvaar paidaa hu.aa hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
chalii bhii jaa jaras-e-Guncha kii sadaa pe nasiim
kahii.n to qaafila-e-nau-bahaar Thahregaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Zafar Iqbal Zafar
Sher
de nishaanii ko.ii aisii ki sadaa yaad rahe
zaKHm kii baat hai kyaa zaKHm to bhar jaa.e.nge
Bashar Nawaz
Sher
nafrat se bachaa kar tuu ulfat ko sajaa dil me.n
paiGaam mohabbat kaa har baar diye jaanaa
Bubbles Hora Saba
Sher
kahiyo sabaa salaam hamaaraa bahaar se
ham to chaman ko chho.D ke suu-e-qafas chale
Mohammad Rafi Sauda
Sher
nafas nafas ho sabaa kii tarah bahaar-a.ngez
ufuq ufuq gul-e-hastii mahak mahak jaa.e
Akbar Hameedi
Sher
abr-e-bahaar baad-e-sabaa apnii raah le.n
majnuu.n ko kaa.enaat kisii kaam kii nahii.n
Abdullah Saqib
Sher
phir zehn kii galiyo.n me.n sadaa guu.njii hai ko.ii
phir soch rahe hai.n kahii.n aavaaz sunii hai
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
jo apnii zaat se baahar na aa sakaa ab tak
vo pattharo.n ko mataa-e-havaas kyaa degaa
Mohsin Naqvi
Sher
thakan se chuur hai saaraa vajuud ab meraa
mai.n bojh itne Gamo.n kaa to Dho nahii.n saktaa
Babar Rehman Shah
Sher
KHaak ke zarro.n se uf uf kii sadaa aatii hai
meraa afsaana-e-Gam qissa-e-maazii na hu.aa
Mohammad Baqar Shams
Sher
saaqii ga.ii bahaar rahii dil me.n ye havas
tuu minnato.n se jaam de aur mai.n kahuu.n ki bas