SEARCH RESULTS
Showing search results for "sadaa-e-huu"
Sher MATCHES FOR "sadaa-e-huu"
Sher
sher me.n saath ravaanii ke ma.aanii bhii to bhar
ai 'sadaa' qaid tuu kuuze me.n samundar kar de
Sada Ambalvi
Sher
gosh-e-mushtaaq-e-sadaa-e-naala-e-dil ab kahaa.n
sher agar dil ke lahuu me.n Duub kar nikle to kyaa
Ziauddin Ahmad Shakeb
Sher
sadaa-e-qulqul-e-miinaa mujhe nahii.n aatii
mire savaal kaa shiishe me.n kuchh javaab nahii.n
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
sadaa-e-dard lagaataa huu.n us galii me.n jahaa.n
shaguft-e-gul bhii samaa'at pe baar hotii hai
Husain Majrooh
Sher
aalam-e-huu me.n kuchh aavaaz sii aa jaatii hai
chupke chupke ko.ii kahtaa hai fasaana dil kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
'aalam-e-huu me.n sahii shor to kar lene do
apne hone kaa bhii e'laan zaruurii hai miyaa.n
Asif Bilal
Sher
‘aalam-e-huu me.n sahii shor to kar lene do
apne hone kaa bhii e'laan zaruurii hai miyaa.n
Asif Bilal
Sher
ghabraa ga.ii huu.n yaar hujuum-e-butaa.n se mai.n
ab aahuu-e-nigaah ko sahraa-e-huu dikhaa
Zeba Khan Hina
Sher
ye kaa.enaat abhii naa-tamaam hai shaayad
ki aa rahii hai damaadam sadaa-e-kun-fayakuu.n
Allama Iqbal
Sher
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
vo sun rahaa hai mirii be-zabaaniyo.n kii zabaa.n
jo harf-o-saut-o-sadaa-o-zabaa.n se pahle thaa
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Sher
lams-e-sadaa-e-saaz ne zaKHm nihaal kar diye
ye to vahii hunar hai jo dast-e-tabiib-e-jaa.n me.n thaa
Ahmad Shahryar
Sher
sadaa-e-vaqt kii gar baaz-gasht san paa.o
mire KHayaal ko tum shaa.iraana kah denaa
Mohsin Bhopali
Sher
mujhe kisii ne sunaa hii nahii.n tavajjoh se
mai.n bad-zabaan sadaa-e-karaKHt huu.n shaayad
Aqeel Shadab
Sher
sadaa-e-dil ko kahii.n baaryaab honaa thaa
mire savaal kaa kuchh to javaab honaa thaa